Eid ul Fitr Essay Urdu Eid ul Adha Eidain Essay Eid ul Azha Mubarak

Mazmoon Eid ul Fitr Essay Urdu Eid ul Adha Eidain- Mafhoom-o-Ahmiyat: Eid ke mani khushi, musarat ya jashan ke hain, is se murad khushi ka woh din hai jo baar baar laut kar aye. Fitar ke mani roza kholne ke hain. Is lihaz se eid al fitr us eid ko kehtay hain jo farzandan Islam tauheed ramadan mubarak ke rozay khatam honay ki khushi main shawal ki pehli tareekh ko manatay hain. Goya eid al fitr rozon ki bakhair-o-khoobi takmeel ki taqreeb musarat hai. Seemab akbarabadi ne kya khoob kahi hai.

Hansti hoi subah roz eid ayi hai
Lay kar naye jazbat saeed ayi hai
Ye khush khabri hai rozadaron ke liye
Rozay jo gaye un ki raseed ayi hai

Islami Tehwaron Ki Infaradiyat: Eid ul fitr aur eid ul adha do aham aur mashoor Islami tehwar hain jo har saal nahayat ehtram aur aqeedat aur shaan-o-shokat ke sath manaye jate hain. Islami tehwar aik munfarid hasiyat rakhtay hain. Ye tehwar Islami iqdar-o-rawayat ki akasi kartay hain aur in jaez hadood ke andar rehtay howe khushi aur musarat, sair, tafreeh aur shan-o-shokat ka izhar hota hai. In tehwaron main najaez baton se mukamal toor par ijtinab kiya jata hai.  Dusri qaumon apni tehwar manatay howe ikhlaqi qadron ka lihaz nahin rakhtien lekin millat Islamiya apni makhsoos rawayat aur iqdar ka lihaz rakhtay howe apne tehwar aik infaradi shan ke sath manatay hain.

Eid-ul-Fitr Ka Tehwar: Eid-ul-Fitr ka tehwar puray alam Islam main nihayat tazk-o-ahtsham se manaya jata hai. Is rooz tamam farzandan-e-Tauheed khawa unhon ne ramzan ul mubarak ke rozay rakhay hon ya na rakhay hon, bepanah khushi aur musarat ka saman kartay hain. Lekin dar haqeeqat wohi log eid ki khushiyanmananay ke zayada mustahiq hain jinhon ne ramadan ul mubarak ke rozay rakhay aur is mubarak mahenay main Quran Majeed zayada se zayada parha, suna aur is se hidayat  aur rehnumai hasil ki. Baqol Iqbal.
Quran Main Ho Ghotah Zan Aay Mard Musalman
Allah Karay Tujh Ko Ata Jidat Kardar
Quran Pak main Musalmanon par rozay farz karnay ki do hikmatain bayan ki gayi hain. Aik ye ke Musalmanon main taqwa ki sifat paida ho aur dusri ye ke Musalman is naimat uzma ka shukar ada karain jo Allah ne ramzan main Quran pak nazil kar ke un ko ata farmayi.

Eid Ki Tayariyan: Jub ramzan ka pehla ashra guzar jata hai, eid ki tayariyan shuru ho jati hai. Log naye kapre aur jootay khareednay shuru kar detay hain. Bazaron main khareedari shuru ho jati hain. Rishtaydaron aur doston ko eid card bhaijnay shuru kar diye jatay hain. Joun hi ramzan ki 29 tareekh ati hai, sub chotay baray roza kholtay hain apne apne makanon ki chaton par charh jatay hain aur eid ke chand ki talash main baar baar asman ki taraf dekhtay hain. Un main se agar kisi ko chand nazar ajaye tou woh maray khushi ke uchal partay hain. Is tarah gird-o-paish ke sub log chand dekh laitay hain aur har taraf khushi ki lehar dor jati hai, sub aik dusray ko mubarakbad detay hain.

Paigham-e-Musarat: Joun hi chand nazar anay ki khabar milti hai har shukhs khushi se sharshar ho jata hai, har taraf dhoom mach jati hai. Log duain mangtay hain ke un ki ibadatain qabol hon aur anay wala mahena rehmaton ka paigham laye. Bachon ki khushiyon ka tou khaas tor par khuch thikana nahin hota.

Chehal Pehal: Sham ke baad eid ka elaan hotay hi bazaron main bari chehal pehal aur gehma gehmi shuru ho jati hai. Bachay bohat shooq se eid ke kapray khareedtay hain, bachyan hathon main mehndi rachanay main masroof ho jati hain.

Eid Ka Din: Aglay rooz fajar ki azaan ke sath hi log jaag uthtay hain. Namaz fajar ada kartay hain, nahanay ke baad naye kapray zaib tan kartay hain. Ghar main eid ke pakwan shuru ho jatay hain, khaas tor par log sawaiyan, halwa, kheel, gajreela ya koi meethi cheez pakatay hain. Is liye eid ul fitr ko sawaiyon ki eid ya meethi eid bhi kehtay hain. Eid ke din koi meethi cheez khana Sunnat-e-Rasool (saww) hai. Bachay bazurgon ko salam kar ke eid ki namaz se pehle eidi wasol kartay hain. In choti choti masrufiyaton ke baad namaz-e-eid ka waqt ho jata hai aur chotay baray mukhtalif toliyon ki shakal main zair-r-lab yani khamoshi ke sath takbeer parhtay howe eidgah ki taraf rawan dawan ho jatay hain.

Sadqa Eid ul Fitr: Shariat Islami ki ru se namaz eid se pehle sahib e hasiyat aur  sahib e nisab Musalman par sadqa fitr ya fitrana ada karna lazim hai. Ye sadqa fitr 2 1/2 kg aata fi kas ke hisab se ada kiya jata hai. Sadqa eid ul fitr ka maqsad ye hai ke ghareeb aur muflis afraad bhi eid ki khushiyon aur musaraton main shareek ho sakain. Islami ahkamaat main ye hikmat rakhi gayi hai ke ameer aur sahib hasiyat log apne ghareeb aur kam hasiyat bhaiyon ka ehsaas rakhain aur un se puri puri humdardi karain.

Namaz-e-Eid: Logon ke eidgah ki taraf janay ka manzar bhi bara haseen hota hai. Rnag barang aur zarq barq libas ajeeb bahar detay hain. Namaz eid ka ye azeem ijtima Islami tehzeeb ka mazhar hai.  Is se shokat Islami ka izhar hota hai. Jisay dekho eidgah ki taraf rawah dawan hota hai. Masjid ke loud speaker se baar baar eid ki namaz ke waqt ka elaan hota hai. Aam toor par namaz-e-eid kisi khulay maidaan ya eidgah main ada ki jati hai lekin logon ki kasrat tadad ki wajah se aam masajid main bhi namaz ada ki jati hai. Namaz ke baad masjid iman sahib eid ka khutba parhtay hain. Is khutbay ko sun'na lazmi hai. Khutbay ke baad ijtimayi toor par dua mangi jati hai.

Eid Milaap: Namazi namaz-e-eid se farigh honay ke baad aik dusre ko eid ki mubarakbad detay hain aur apas main galay miltay hain is se Musalmanon main bahmi ulfat, muhabbat aur yagaangat bharhti hai. Is tarah eid humain alamgeer akhuwat aur bhai charay ka dars deti hai. Is ke elawa bhi eid milan party ka ehtmaam hota hai aur youn dil ki kaduratain aur nafratain ulfat aur muhabbat main tabdeel ho jati hain.

Eid Ki Taqreebaat: Namaz eid ke baad eid ki taqreebaat shuru ho jati hain, har abadi aur mohalay main mailay ka sama hota hai. Bazaron main khoob ronaq, chehal pehal aur gehma gehmi hoti hai. Mithai aur phalon ki dukanon par ghair mamooli chehal pehal hoti hai. Khalonay aur ghubaray baichnay wale khoob kama rahe hotay hain. Baron ke hathon main mithai ke dabay hotay hain aur bachay khalonay aur ghubaray pakray gharon ko ja rahay hotay hain. Ghar main nafees, umdah, lazeez aur mazaydaar khanay pakay hotay hain. Pakwan rishtadaron aur doston ki taraf bhi bhayjay jatay hain. Azeez dost mulaqaton ke liye atay hain. Dawatain urayi jati hain. Har ghar khushi aur mussarat ka gehwara bana howa hai. Khushi aur mulaqat ka ye silsila sham tak jari rehta hai. Akhir gharoob aftab ke baad jub raat ke tareek saye rafta rafta phailnay lagtay hain tou eid ki ronaqain bhi in tareekiyon main gum ho kar reh jati hain.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker