Eid ul Fitr Essay Urdu Eid ul Adha Eidain Essay Eid ul Azha Mubarak

Add Comment
Mazmoon Eid ul Fitr Essay Urdu Eid ul Adha Eidain- Mafhoom-o-Ahmiyat: Eid ke mani khushi, musarat ya jashan ke hain, is se murad khushi ka woh din hai jo baar baar laut kar aye. Fitar ke mani roza kholne ke hain. Is lihaz se eid al fitr us eid ko kehtay hain jo farzandan Islam tauheed ramadan mubarak ke rozay khatam honay ki khushi main shawal ki pehli tareekh ko manatay hain. Goya eid al fitr rozon ki bakhair-o-khoobi takmeel ki taqreeb musarat hai. Seemab akbarabadi ne kya khoob kahi hai.

Hansti hoi subah roz eid ayi hai
Lay kar naye jazbat saeed ayi hai
Ye khush khabri hai rozadaron ke liye
Rozay jo gaye un ki raseed ayi hai

Islami Tehwaron Ki Infaradiyat: Eid ul fitr aur eid ul adha do aham aur mashoor Islami tehwar hain jo har saal nahayat ehtram aur aqeedat aur shaan-o-shokat ke sath manaye jate hain. Islami tehwar aik munfarid hasiyat rakhtay hain. Ye tehwar Islami iqdar-o-rawayat ki akasi kartay hain aur in jaez hadood ke andar rehtay howe khushi aur musarat, sair, tafreeh aur shan-o-shokat ka izhar hota hai. In tehwaron main najaez baton se mukamal toor par ijtinab kiya jata hai.  Dusri qaumon apni tehwar manatay howe ikhlaqi qadron ka lihaz nahin rakhtien lekin millat Islamiya apni makhsoos rawayat aur iqdar ka lihaz rakhtay howe apne tehwar aik infaradi shan ke sath manatay hain.

Eid-ul-Fitr Ka Tehwar: Eid-ul-Fitr ka tehwar puray alam Islam main nihayat tazk-o-ahtsham se manaya jata hai. Is rooz tamam farzandan-e-Tauheed khawa unhon ne ramzan ul mubarak ke rozay rakhay hon ya na rakhay hon, bepanah khushi aur musarat ka saman kartay hain. Lekin dar haqeeqat wohi log eid ki khushiyanmananay ke zayada mustahiq hain jinhon ne ramadan ul mubarak ke rozay rakhay aur is mubarak mahenay main Quran Majeed zayada se zayada parha, suna aur is se hidayat  aur rehnumai hasil ki. Baqol Iqbal.
Quran Main Ho Ghotah Zan Aay Mard Musalman
Allah Karay Tujh Ko Ata Jidat Kardar
Quran Pak main Musalmanon par rozay farz karnay ki do hikmatain bayan ki gayi hain. Aik ye ke Musalmanon main taqwa ki sifat paida ho aur dusri ye ke Musalman is naimat uzma ka shukar ada karain jo Allah ne ramzan main Quran pak nazil kar ke un ko ata farmayi.

Eid Ki Tayariyan: Jub ramzan ka pehla ashra guzar jata hai, eid ki tayariyan shuru ho jati hai. Log naye kapre aur jootay khareednay shuru kar detay hain. Bazaron main khareedari shuru ho jati hain. Rishtaydaron aur doston ko eid card bhaijnay shuru kar diye jatay hain. Joun hi ramzan ki 29 tareekh ati hai, sub chotay baray roza kholtay hain apne apne makanon ki chaton par charh jatay hain aur eid ke chand ki talash main baar baar asman ki taraf dekhtay hain. Un main se agar kisi ko chand nazar ajaye tou woh maray khushi ke uchal partay hain. Is tarah gird-o-paish ke sub log chand dekh laitay hain aur har taraf khushi ki lehar dor jati hai, sub aik dusray ko mubarakbad detay hain.

Paigham-e-Musarat: Joun hi chand nazar anay ki khabar milti hai har shukhs khushi se sharshar ho jata hai, har taraf dhoom mach jati hai. Log duain mangtay hain ke un ki ibadatain qabol hon aur anay wala mahena rehmaton ka paigham laye. Bachon ki khushiyon ka tou khaas tor par khuch thikana nahin hota.

Chehal Pehal: Sham ke baad eid ka elaan hotay hi bazaron main bari chehal pehal aur gehma gehmi shuru ho jati hai. Bachay bohat shooq se eid ke kapray khareedtay hain, bachyan hathon main mehndi rachanay main masroof ho jati hain.

Eid Ka Din: Aglay rooz fajar ki azaan ke sath hi log jaag uthtay hain. Namaz fajar ada kartay hain, nahanay ke baad naye kapray zaib tan kartay hain. Ghar main eid ke pakwan shuru ho jatay hain, khaas tor par log sawaiyan, halwa, kheel, gajreela ya koi meethi cheez pakatay hain. Is liye eid ul fitr ko sawaiyon ki eid ya meethi eid bhi kehtay hain. Eid ke din koi meethi cheez khana Sunnat-e-Rasool (saww) hai. Bachay bazurgon ko salam kar ke eid ki namaz se pehle eidi wasol kartay hain. In choti choti masrufiyaton ke baad namaz-e-eid ka waqt ho jata hai aur chotay baray mukhtalif toliyon ki shakal main zair-r-lab yani khamoshi ke sath takbeer parhtay howe eidgah ki taraf rawan dawan ho jatay hain.

Sadqa Eid ul Fitr: Shariat Islami ki ru se namaz eid se pehle sahib e hasiyat aur  sahib e nisab Musalman par sadqa fitr ya fitrana ada karna lazim hai. Ye sadqa fitr 2 1/2 kg aata fi kas ke hisab se ada kiya jata hai. Sadqa eid ul fitr ka maqsad ye hai ke ghareeb aur muflis afraad bhi eid ki khushiyon aur musaraton main shareek ho sakain. Islami ahkamaat main ye hikmat rakhi gayi hai ke ameer aur sahib hasiyat log apne ghareeb aur kam hasiyat bhaiyon ka ehsaas rakhain aur un se puri puri humdardi karain.

Namaz-e-Eid: Logon ke eidgah ki taraf janay ka manzar bhi bara haseen hota hai. Rnag barang aur zarq barq libas ajeeb bahar detay hain. Namaz eid ka ye azeem ijtima Islami tehzeeb ka mazhar hai.  Is se shokat Islami ka izhar hota hai. Jisay dekho eidgah ki taraf rawah dawan hota hai. Masjid ke loud speaker se baar baar eid ki namaz ke waqt ka elaan hota hai. Aam toor par namaz-e-eid kisi khulay maidaan ya eidgah main ada ki jati hai lekin logon ki kasrat tadad ki wajah se aam masajid main bhi namaz ada ki jati hai. Namaz ke baad masjid iman sahib eid ka khutba parhtay hain. Is khutbay ko sun'na lazmi hai. Khutbay ke baad ijtimayi toor par dua mangi jati hai.

Eid Milaap: Namazi namaz-e-eid se farigh honay ke baad aik dusre ko eid ki mubarakbad detay hain aur apas main galay miltay hain is se Musalmanon main bahmi ulfat, muhabbat aur yagaangat bharhti hai. Is tarah eid humain alamgeer akhuwat aur bhai charay ka dars deti hai. Is ke elawa bhi eid milan party ka ehtmaam hota hai aur youn dil ki kaduratain aur nafratain ulfat aur muhabbat main tabdeel ho jati hain.

Eid Ki Taqreebaat: Namaz eid ke baad eid ki taqreebaat shuru ho jati hain, har abadi aur mohalay main mailay ka sama hota hai. Bazaron main khoob ronaq, chehal pehal aur gehma gehmi hoti hai. Mithai aur phalon ki dukanon par ghair mamooli chehal pehal hoti hai. Khalonay aur ghubaray baichnay wale khoob kama rahe hotay hain. Baron ke hathon main mithai ke dabay hotay hain aur bachay khalonay aur ghubaray pakray gharon ko ja rahay hotay hain. Ghar main nafees, umdah, lazeez aur mazaydaar khanay pakay hotay hain. Pakwan rishtadaron aur doston ki taraf bhi bhayjay jatay hain. Azeez dost mulaqaton ke liye atay hain. Dawatain urayi jati hain. Har ghar khushi aur mussarat ka gehwara bana howa hai. Khushi aur mulaqat ka ye silsila sham tak jari rehta hai. Akhir gharoob aftab ke baad jub raat ke tareek saye rafta rafta phailnay lagtay hain tou eid ki ronaqain bhi in tareekiyon main gum ho kar reh jati hain.

Camel Essay In Urdu Camel In Islam Paragraph On Camel Oont Mazmoon

Add Comment
Camel Essay In Urdu Camel In Islam Paragraph On Camel

Bachon Ke Liye Camel Par Mazmoon For Kids

Allah Ta'ala ne oont ko aisa hairat angez aur itna farma bardar banaya hai keh aik chota sa bacha bhi is ki rasi pakray tou ye chal paray. Oont aik aisa sehrai janwar hai jo aik maheenay se zayada baghair pani peeyay sehra mein chal sakta hai. Is ki pusht par itni gunjaesh hoti hai keh insan apne khanay peenay aur bistar waghera ke sath yun safar ka lutf uthata hai jese woh apne ghar mein baitha ho.

Kohaan

Oont ka kohaan charbi se banta hai jo is ko khorak na milnay ki surat mein ghaza faraham karta hai. Is qudrati nazam ke sath ye teen hafton tak pani ke baghair zinda reh sakta hai. Magar itnay arsay mein us ka wazan 33% kam ho jata hai. Is ke bar aks insan ko agar ghaza aur pani na milay tou woh apna 8% wazan khonay ke sath 36 ghanton mein maut ke munh mein pohanch jata hai kyun keh us arsay mein us ke jism ka sara pani khatam ho jata hai.


Quran Pak Mein Oont Ka Zikar

Surah Yusuf mein baghair kisi anwan se bhi oont ka tazkara mojood hai jo Hazrat Yusuf A.S ke qisay aur baar bardari ke taluq se hai.

Hazrat Saleh A.S Ki Dua

Aik din samood nami qaum ke logon ne Hazrat Saleh A.S se bari ajeeb o ghareeb farmaesh ki keh hamain aik mojza aisa dikhayain keh un ke samne wali chitanon se aik oontni namoodar ho aur us waqt aik bache ko bhi janam de de. Lihaza Hazrat Saleh A.S ne Allah se dua mangi. Allah ne khubsurat jism wali oontni ko bheeja jis ne sub ke samne aa kar aik khubsurat sa bacha bhi de diya. Allah ne Hazrat Saleh A.S ki dua rad nahin ki.

Hadees Mein Oont Aur Oontni Ka Zikar - Hadees About Camel In Urdu

Aik martaba Nabi SAW aik ansari ke bagh mein dakhil hue tou wahan aik oont nazar aya. Nabi SAW ne us ki taraf dekha tou oont ki ankhon mein aansoo aa gaye. Aap SAW ne us ke malik se farmaya: Tou Khuda se nahin darta is oont ne mujh se shikayat ki hai keh tou isay bhooka rakhta hai.

Tapish Se Mehfooz Rakhne Wali Jild
Oont ki jild oon jese ghanay aur guchay dar balon se banti hai jo is janwar ko sakht sardi aur jala dene wali garmi se mehfooz rakhti hai aur isay pani ki kami se bachati hai. Saudi Arab aur Shumali Africa ka oont apne jism ke darja hararat ko 41 c tak barha laita hai. Apni is khasoosiyat ki bina par oont asia mein mausam e garma mein zayada se zayada garmi bardasht karne ki salahiyat rakhta hai aur sardi ke mausam mein bhi oont apne aap ko kafi had tak mehfooz kar laita hai.

Rait Se Mehfooz Sar

Qudrat ne oont ki palkon mein aisa nazaam rakha hai keh jese hi khatray ka pata chalta hai tou khud ba khud us ki ankhain band ho jati hain takeh mitti ke zarat us ki ankhon ko nuqsan na pohancha sakain. Hairat angez baat ye hai keh oont kantay dar ppodon ko bhi baray mazay se khata hai aur isay hazam karne mein koi takleef nahin hoti kyun keh is ki zuban ki mazboti khardar cheezon ko chabanay aur hazam karne mein madad deti hai.

Sardi Ka Mausam Essay Urdu Winter Season In Pakistan Mein Sardi Ka Mosam

Add Comment
Sardi Ka Mausam Essay In Urdu Winter Season In Pakistan - Pakistan samait dunya bhar mein sardiyon ka mausam intihai khubsurat hota hai jub darakhton ki tehniyon par safaid barf aur paharon ko dhankti hoi barf har manzar haseen bana deti hai. Bohat se log sardi ke mausam mein mukhtali sard ilaqon ki sair ka programe bhi banatay hain aur khuch tou apne mulk se bahir kisi dusre mulk mein sardiyon ki chuttiyan guzarnay chalay jatay hain. Ye sardi ka khubsurat mausam ki hota hai jo saiyahon ko apni janib matwajuh karta hai.

Qudrat Ka Atiya: Qudrat ne apni kamal shafqat se sard ilaqon ko khusk mewon ki daulat se bhi nawaz rakha hai. Pakistan ke sard ilaqon ke log apne gharon mein bhi phaldar darakht lagatay hain aur in mewon ke baqaida baghaat bhi hote hain jahan se log garmiyon mein khareed kar inhain apne makanon ki chaton par daal kar khushk kar ke inhain zakheera kar laitay hain aur sardi ke mausam mein kamron ke andar angeethiyon ke paas baith kar khoob mazay lay lay kar khatay hain aur sardi ke asar ko kisi had tak zail kar dete hain.

Dunya Ke Dusre Mumalik Mein Sardi Ka Mausam: Pakistan ke shumali ilaqon aur degar sard ilaqon ke ilawa dunya ke dusre mumalik mein sardi apne joban par bhi ho tou zayada takleef ka baes nahin banti. Lekin Amreeca aur Canada samait dunya ke baaz mumalik mein tou baaz auqat sardi apne pichlay sare record tor deti hai aur shadeed baraf bari se androon e mulk aur beron e mulk janay wali sari parwazain multawi bhi ho jati hai lekin manchalay is shadeed sardi se bhi lutf andooz honay ka koi mauqa hath se nahin janay detay. Woh baraf ke mujasmay bananay ke sath sath baraf bari mein tasaweer banwatay hain aik aik dusre par barf ke golay bana kar barsatay hain. Lekin maqami logon ki aksariyat is tarah ki shadeed sardi mein apne gharon mein baith kar mausam behtar honay ka intezar karti dikhai deti hai. Karachi aur degar sahili ilaqon mein tou sardi wese hi mamooli parti hai. Baqi medani ilaqon mein garam kapron se guzara ho jata hai dehati log apna kaam khulay medanon mein dhoop mein karte hain lihaza woh ooni chadar waghera se hi guzara kar laitay hain jabkeh ghareeb log sooti kheeson se hi kaam chala letay hain.

Heater Ka Istemal: Pakistan mein assoda haal tabqa heaters se sardi ko maar bhagata hai lekin bohat se aise ilaqe hain jahan sardiyon mein sui gas bhi dastyab nahin hoti aise mein unhain koelon aur lakriyon ka sahara laina parta hai. Shehron mein sarkari daftaron aur sarkari rehaish gahon mein sui gas ke heater taqreeban har kamre mein hukumat ki taraf se nasb hotay hain. Din ke waqt qudrati heater yani suraj hi aksar logon ki sardi ko maar bhaganay mein hath batata hai.

Barsat o Hawa: Pakistan bilkhasoos wasti aur janoobi punjab mein sardi tab takleef deh surat haal ikhtyar karti hai jub barish aa jaye aur barish ke sath thandi hawa bhi chal paray tou phir admi waqai preshan kar dene wali surat haal se dochar ho jata hai aur in halaat mein log ghar ke andar hi baithnay par majboor ho jatay hain.

Sardi Aur Talib Ilm: Sardi ka mausam un talib ilmon ke liye bhi takleef deh hai jo paidal ya cycle par school aur collage jatay hain khas tor par subah ke waqt.

Awam khas tor par nichlay tabqe ke liye mausam garma sarma se behtar hai kyun keh is mein halkay aur sastay libas se guzara ho jata hai aur sonay ke liye bhi ghareeb admi aik dari aur takiye se kaam chala laita hai. Jhonpriyon mein rehne walon aur foot pathon par sonay walon ke liye sardi ka mausam khasa preshani ka sabab banta hai.
eXTReMe Tracker