Sahil Samandar Ki Sair Urdu Essay Samandar Seaside Hindi Essay Samundar Ke Kinare

Sahil Samandar Ki Sair Urdu Essay Samandar (Sea) Seaside

Youn tou karachi mein chidiya ghar hai, safari park hai, aziz bhatti park aur hill park hain mazar-e-quaid bhi achi tafreh ki jagah hai. Lekin karachi ki kaseer abadi garmi ke zamane mein samandar ka rukh karti hai aur samandar ke sahil par chalne wali thandi hawaon se lutf andoz hone ki khawahish mand hoti hai. Imtihanat sar par achukay thay April ka maheena chal raha tha sakht garmi par rahi thi aur 10 class aur 9 class ke  talba ne head master sahib se darkhawast ki keh unhain class teacher sahiban ki zair-e-nagrani clifton ke sahil ki sair ki ijazat di jaye aur naiz school ki transport bus istemal karne ki ijazat di jaye. Head master bhi khud sath chalne ko tayar ho gaye. Ab nowien aur daswien ke dusre teacher hazrat ne bhala kya qasoor kiya tha sub ne clifton jane ka irada zahir kiya. Sub teachers ne mil kar ittefaq raye se aik tafreehi programme muratab kiya keh har teacher dus dus larkon ko apne sath rakhe ga aur har group apne teacher ke mashwarah se bazar se khud-o-nosh ki cheezain khareeday ga haftay ke din 8 bajay talba ko talab kar liya gaya.
Samandar Hindi Essay
Haftay ka suraj hum sub ke liye khushiyon ka paigham laya hum sub bache waqt se pehle hi school mein jama ho gaye thay talba ke sub groups ke paas khane peenay ka saman carom board aur mauseeqi ke alaat water cooler chai se bhare hue tharmos mojood thay.

Sub bachay tafreehi mod mein thay aur bohat hi zinda dil aur khush nazar arahe thay theek sarhay 8 bajay head master sahib ne baray saleeqay se sare bachon ko apne apne teacher ki nagrani mein bus mein sawar karwaya aur hamara karwan clifton ke liye rawana hua. Talba ko sakhti se hidayat kar di gayi keh woh apne teachers ke ahkamat ki har halat mein pabandi karain aur koi talib ilm samundar mein nahane ya pani mein utarne ki hamaqat na kare.

Rastay bhar sub bachay qehqay lagate rahe khuch larkay saaz bajatay aur mili naghmay gatay rahe theek 9 bajay hum clifton pohanch gaye sahil ke qareeb lekin pani se door aik khas jagah par head master sahib ne sub bachon ko school se laya hua shamyana nisb karne ka hukam diya us mein khane peenay ka saman saleeqay se rakh diya gaya. Phir khuch shor-o-ghul hone laga koi ga raha tha koi baja raha tha koi cheekh raha tha. Head master sahib ne kaha keh is tarah jangli tarz se tafreh nahin ho gi.

Chunachay ye tay paya keh pehle moseeqi ki mehfil sajay gi aur jin bachon ki awazain achi hon woh gana sunayien gey ye programme 11 bajay tak chalta raha phir achanak nazm-o-jabt ke sath talba ne Hazrat Abdullah Shah Ghazi ki dargah par hazri di aur Fatiha parhi dargah ki chaon mein sub saleeqay se baith gaye aur samandar se anay wali thandi hawaon se lutf andooz hote rahe Phir hum play land mein gaye lakdi ke ghoron par sawari ki jhoola jhoolay sahil par baithay bari dair tak kheelte rahe. 1:30 bajay sub us jagah wapas aa gaye jahan hamare khane ka saman rakha tha aur 3 teacher aur chand larkay hamare us saman ki hifazat kar rahe thay dopehar ka khana khane ke baad humain door se samandar ke pani ka nazara karne ke liye bheja gaya. Phir hum aquarium mein gaye aur wahan mojood kayi iqsam ki machliyan dekhein 4 bajay tak hum idhar udhar ghomtay rahe phir aik jagah baith kar hum ne chai pi aur apas mein lateefay aur khubsurat kahaniyon ko sunanay ke baad wapsi ke liye bus mein sawar ho gaye sara saman achi tarah samait kar gari mein rakh liya aur wapas school ki taraf rawana hue ponay 5 baj gaye sub talba khushi khushi apne apne gharon ko wapas aa gaye. Humain samandar ke kinare is tafreehi programme ka bara maza aaya jo humain safari park aur garden waghera mein hargiz nahin aata.

Share this :

1 Comment
avatar

Hmm nice essay very useful

Balas

eXTReMe Tracker