Warzish Ke Faide In Urdu Essay Exercise Benefits Warzish Ka Tarika

Exercise Benefits In Urdu: Kabhi ye na sochain ki aap ki age zayada ho chuki hai is liye ab warzish ke faide hasil karne ka waqt nahin, balkeh agar aap chahte hain ke zayada lambi zindagi jiyain, khush rahain aur healthy rahain tou har waqt baithay rehne ki adat tark karain, aur daily warzish karain.

Warzish Ke Liye Hidayat: Exercise jism ke alag alag hison ko control mein rakhne aur mukhtalif hison ke liye hoti hai. Yahan aap ko chand aisi exercises ke baray mein batayain gey jo zayada se zayada hison ke liye asar angeez hain. Agar aap tamam hison ke ilawa bhi kisi khas hisay ko khas tawaja dena chahte hain tou is ke liye munasib warzish ka intikhab karain. Start mein exercise 5 se 8 times tak dohrayain phir waqt ke sath tadad aur waqt barhatay hue ye tadad 30 se 40 tak kar lain. Chehre ki warzish sirf us waqt tak karain jub tak baghair takleef aur thakan ke kar sakain. Agar medical treatment mein hain tou doctor ke mashwaray ke mutabiq warzish karain aur un warzish se parhez karain jin se takleef mehsoos ho.

Warzish Ke Fawaid: Baqaida exercise hamare rozmara ki bohat sari problems ka asan solution hai. Achi jismani shaksiyat banane aur isay barqarar rakhne ka aik bohat acha tareeqa ye hai ke warzish ko apna roz ka mamool bana liya jaye. Warzish ke zariye jismani fitness ko control kiya ja sakta hai aur pathon ko mazboot banaya ja sakta hai. Is ke ilawa warzish ke zariye hum apne jism ke mukhtalif hison ki mukhtalif takleef ka azala bhi kar sakte hain.

Warzish Ka Tarika: Jism ke mukhtalif hison ke liye different exercises hoti hain aur hamare liye ye behtar hai ke hum warzish ke start se lay kar mukhtalif warzishon ke bare mein information rakhain takay ham apne liye munasib warzish ka intikhab kar sakain. Warzish mein sub se important amal hai sahi tarika se sans laina.

Medical experts ne warzish ki afadiat bayan karte hue is ko jismani sehat ke sath sath zehni asoodgi aur bahali dimagh ke liye zaroori qarar diya hai. Kyoun ke dimagh par parnay wale bojh ko warzish se dor kiya ja sakta hai. Is ke sath sath rawaiyon ki kharabiyon ko dor karne ke liye bhi warzish aham hai.

Exercise For Girls: Larkiyon Ke Liye Warzish: Khawateen apne aap ko pur kashish bananay ke liye jahan apni diet chart banana zaroori samajhti hain wahin warzish ka baqaida khayal bhi rakhti hain aur ye un ke liye bohat aham bhi hai kyoun ke ghaza ke tanasab ke sath sath warzish ke apnanay se jism na sirf tawana ho jata hai balkeh sehatmand hone ke sath sath matwazan aur qabil rashk ban jaye ga. Exercise se jism normal position mrin ajaye ga aur personality kafi sanwar jaye gi aur aap khubsurat nazar anay lagain gi. Diet mein tanasab qaim karne ke sath sath ye warzish sonay par suhaga ka kaam deti hain aur personality nikhar jati hai. Rozana jismani masrufiyat mein subah ke waqt baqaida sair karna sham ko sonay se pehle tehalna, sports mein hisa laina ya aisi hobbies ikhtyar karna chahiyain jis se jism ko taqwiyat hasil ho, aur banain khubsurat aur smart.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker