My School Essay Urdu Mera School Ka Pehla Din School Poetry

School Essay Urdu - School wo jagah hai jahan bachay ko haiwanat se nikal kar insaniat ka jama pehnaya jata hai napukhta zehan ko pukhtagi bakhshi jati hai. Jahan jahalat ki tareekiyan roshniyon mein tabdeel ki jati hain. Jahan shaoor aur tameez ka zewar pehnaya jata hai. Jahan dil ko hosla aur nigah ko bulandi bakhshi jati hai. ilm ki zaya se zamanay ko roshan karne ki salahiyat paida ki jati hai. Adaton ko acha kiya jata hai. Kainaat ki har cheez ki taskheer karne ka tarika sikhaya jata hai. Mera school bhi unhi sifaat ka hamil hai. Mere school ke main gate ke uper ye shair likha hua hai.
School Poetry In Urdu
Main jub rozana school jata hon tou har roz yehi likha hua pata hon. Jitna sochta hon is shayari ki haqeeqat mujh par itni hi waziha hoti chali jati hai ke waqai jo faraiz yahan anjaam patay hain muqadas hain aur is ke taqadas ki tasdeeq is se aur bari kya ho sakti hai ke yahan insanon ki qismatein tabdeel hoti hain. Ustad ka wajood is lihaz se buland hai ke un ke hathon mein qalam hai. Mera school bohat bara hai jis ke maidan bohat wasi hain. Science room hai sath laboratory hai khula drawing room hai. Zarat ke liye tajarbati farm bhi hain. Bijli pani aur pankhon ka intezam hai. Bijli ka alehda control room hai. Pani ki unchi tanki hai. Dilkash kayariyan flowers se bhari pari hain. Haray darakht khubsurat phool ubaltay hue fawaray ruh parwar manzar paish karte hain.

School ki imarat ke samne wale hisay mein aik hall hai jis par baray lafzon mein likha hua hai "God is almighty" school ke samne wale bare kamre par ilan ho raha hai ke jis Khuda ko ham mantay hain wohi ibadat ke like hai aur bari azmaty wala hai, hamara Kuda har chez par qudrat rakhta hai. Agar hum Khuda ke agey jhukain aur Khuda se jo mangain gey Allah hamain zaroor de ga.

Yahan ke teachers nahayat qabil aur tajarba kar hain. Woh qabil mehnati aur diyanatdar hain. Woh qaum parast aur Islami nazaruat ke hamil hain. Yehi wajah hai ke hamare school ke nataij 90% se 95% hote hain.

Hamare school ka staff 60 teachers par mushtamil hai jo apne apne ilm mein puri qabliyat rakhte hain. Students ki tadad 2000 ke qareeb hai. 2 chaprasi hain aur mali bhi hain. Mere school ka shumar punjab ke behtareen schools mein hota hai. mujhe apne school se bohat mohabbat hai. Ye mujhe bohat pasand hai.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker