Youm-e-Pakistan Essay In Urdu Qarardad e Pakistan Day Celebration

Youm-e-Pakistan essay in urdu Tarikh insani ke auraq himmat aur istaqlal ki un sunehri dastanon se bhare paray hain. Jin ki khusbu se dunya-e-alam  aur amal hamesha makehti rahe gi. Pakistan bhi aisay hi himmat aur bharpur koshishon ka samar hai. Hindustan ki tarikh yani 1000 saa hukmarani se mehroom ho jane ke baad Hindustani Musalman samraj ki chera dastiyon ka shikar ho kar zilat ameez ghulami ki zindagi guzaar rahe thay. Jub hinduon ke tasab aur angrez se un ki mili bhagat ka ilm hua tou Quaid ki qayadat mein Musalmanon ka karwan azadi husool Pakistan ki manzil ki taraf rawan dawan hua. 1940 mein Qarardad e Pakistan paas hoi aur sirf 7 saal ke qaleel arsay mein ye mulk hasil ho gya. Isay mojza keh lijiye tou bilkul sahi ho ga ke Saltanat Pakistan dunya ki sub se bari Muslim riyasat ke toor par dunya ke naqshay par ubhri.

Is watan ki tameer mein sub se bari qurbani Quaid-e-Azam ki shumar hoti hai. Jub ye mulk bana tou is mein lakhon bay gunahon ka khoon bhi shamilho gya. Hazaron bachay yateem ho gye. Beshumar auratain bewa ho gayien. Hazaron mayain apne beton ke ghum mein bay noor ho gayien aur beshumar behnon ne apne bhaiyon ko samne qatal hote dekha. Ye mulk lakhon dukh jhelnay ke baad hasil hua, qaum ko is ki bohay bhari qeemat ada karna parri hai. Pakistan ki qadar un ko hai jin ka khoon is mulk ko hasil karne mein kaam aya hai.

Jub Youm-e-Pakistan manaya jata hai tou hamare dilon mein un qurbaniyon ki yaad taza ho jati hai. Hum tasawar ki wadiyon mein door daraz ak nikal jate hain. 1857 se lay kar 1947 tak ke tamam waqiat hamari nigahon mein film ki tarah ghoom jate hain aur fikar o khayal ka dhara Pakistan tak akar ruk jata hai aur yahan se aik naye safar ka aghaz hota hai. Jis ke liye naye walwalay, naye hoslay aur nayi umangon ki zaroorat hai.

Aisi taqreebat qaumaon ki zindagi mein khas ahmiyat rakhti hain. Qaumon ki taraqi ki dor mein ye moqa aur taqreeb aik halka sa thehrao hoti hain jahan qaumain aik lamha ke liye rukti hain aur mazi ki jadojehad ka jaiza laiti, naye azam ka faisla karti hain. Aisay moqa par tareekh ko yaad kiya jata hai. Aisi taqareeb qaumon ko aik josh aur aik nayi zindagi ka jazba deti hai.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker