Mera Watan Urdu Essay Watan Se Mohabbat My Country My Pride

Watan Se Mohabbat Essay In Urdu: Hamara watan Pakistan wo watan nahin jo warasat mein is ke basnay walon ko mila ho balkeh is ki bunyadain istwar karne ke liye mutehda Hindustan ke Musalmanon ki hadiyan eenton ki jagah, gosht garay ki jagah aur khoon pani ki jagah istemal hua hai. Itni garan qadar takhleeq ka andaza wohi laga sakta hai jis ne tameer Pakistan mein tan mann dhan qurban kiye. Pakistan younhi hasil nahin ho gya tha. Is ke husool ke liye lakhon musalmanon ne jaam shahadat nosh kiya. kitni maon ke samne un ke bachay qatal kar diye gye. Kitnay bebason ke samne un ke khandanon ko makan mein band kar ke nazar atish kar diya gya. Kitnay bachay yateem hue jo sari umer apne waldain ki shafqat ke liye tarastay rahe.
Is ki wadiyan apne andar ranaiyan liye hue hain. Hare bharay aur wasi o areez kheet sona ugal rahe hain. Hum ye bhi dekhtay hain ke humain har qisam ki azadi aur har tarah ka saman asaesh o araesh muyasar hai.

My Country: Mera Watan: 14 August wo mubarak din tha jub Pakistan bana Musalmanon ke ittefaq aur Quaid-e-Azam ke khaloos ki wajah se ye azeem Islami saltanat wajood mein ayi. Hinduon ne tarah tarah ki makariyon se Pakistan ki mukhalfat ki. Angreezon ne bhi bohat rukawatain paida kien magar Khuda ka shukar hai Pakistan ban kar rehna tha aur ban kar hi raha.
Hamara mutalba haq aur sadaqat par mabni tha. Haq apne aap ko manwa laita hai aur dushmanon ke napak azaim khak mein mil jatay hain. Aaj Pakistan apni azmat ko dunya se tasleem karwa chuka hai. Humain Pakistan se mohabbat hai. Is ke bani se aqeedat hai. Is ke musawir se dili lagao hai.

Qudrat ne Pakistan ko har naimat se nawaza hai. Daryaon nadi nalon ki afrat hai jis se zameen sairab aur abad ki ja rahi hai. Is mulk ke rehnay walay hunar mand hain. Wo tijarati, sanati aur zarai maidan mein bhi khoob taraqi kar rahe hain aur jangi maharat mein bhi dunya ke behtareen mahireen mein shamil hain. Yahan par kapas, seeds aur chawal kasrat se hote hain jo export bhi hote hain. Madniyat ka zakhira bhi mojood hai. Maslan namak, mitti ka tail, koela aur cement banane ka pathar aur zamurd ke zakhair bhi daryaft ho chuke hain. Mazeed tehqeeq jari hai. Waqt aye ga jub hum petrol mein bhi In Sh Allah khud kafeel ho jayain gey.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker