Barsat Ka Mausam Urdu Essay Rainy Season Rainy Day

Barsat Ka Mausam - June ke mahinay main jub garmi intiha ko pohanchti hai suraj ki tapish se jesay har cheez ko aag si lag jati hai. Garmi ke sabab koi shakhs ghar se bahir nikalne ki jurat kam hi karta hai. Gali kuchon main hu ka alam hota hai. Nadi nalon main pani bhi kam ho jata hai. Darya khushk ho jatay hain. Aisay main barish baras paray tou har cheez suhani lagnay lagti hai. Achanaq ham dekhte hain ke sayah ghatayain jhoomti hoi arahi hain. Suraj ne munh chupa liya hai. Hawa main thandak paida ho gayi hai. Jaan main jaan anay lagi hai. Ghatayain dekh kar logon ki khushiyon ki intiha nahin rahi. Aik dam barish shuru ho jati hai. Bachay gharon se nikal aye hain. School main chutti ki ghanti baj gayi hai. Larkay bhi school se bahir nikal kar shoor macha rahe hain. Minton main jal thal ho gaya hai. Galiyon kuchon main pani khara ho gaya hai. Bachay pani main door rahe hain. Darakhton par nazar jati hai tou lagta hai ke bahar ka mausam hai. Zard patay sabz libas main malbos nazar anay lage hain. 3 - 4 ghnatay musladhar barish ke baad ab badal chatnay shuru ho gaye hain. Barish thamti ja rahi hai. Thori dair baad badal unchay ho gaye hain aur matla saaf ho gaya hai. Mausam khushgawar ho gaya hai. kos-e-kazan ne asman par rang bakheer diye hain. Fiza dhul kar saaf ho gayi hai. Har taraf zindagi khush gawar ho gayi hai.
Ab dekhiye barish tham chuki hai. Log gharon se nikal pare hain. Koi mausam ka lutf uthanay aur koi khareed-o-farokht karne ja raha hai. Kayi mann chalay ikathay ho kar aam khareednay ja rahe hain. Aam kal bazar main koi khareedta nahin tha magar aaj rehri aur chabri wale hath nahin lagane detay aik dam daam dugne ho gaye hain. Kayi log baghon main nikal gaye hain bagh bhi khoob nikhre nikhre nazar aty hain. Har taraf sabza hi sabza nazar anay laga hai. Parinday khushiyon ke taranay ga rahe hain. Koi apne khandan ke sath nehar kinare chala gaya hai. Khuch ikathay ho kar kashti rani karne lag gaye hain. Darya ki sari kashtiyan pani main chal rahi hain. Log zayada hain aur kashtiyan kam hain. Sham honay tak yehi manzar chalta hai.

Agar barish lagatar zayada hoti rahe tou silab ajatay hain. Sarkain aur railway line tabah ho jati hain. Kamzor aur khasta emaratain gir jati hain. Maweshi halak ho jatay hain. Jani nuqsan bhi hota hai. Log beghar ho kar unchi jagahon par panah laine par majboor ho jate hain. Karobar bohat mutasir hote hain. Amd-o-raft band ho jatay hain. Faslain tabah ho jati hain. Zayada dair tak zameen main nami rehne se wabai amraz phoot parti hain aur bohat zayada halakat-o-preshani ka baes ban jati hain. Goya wohi abar-e-rehmat agarzayada ho tou rehmat aur halakat ka sabab ban jata hai.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker