Aurat Ke Huqooq in Islam Urdu Essay Women Rights in Pakistan

Haq baat tou ye hai ke Khuda ne mard aur aurat ko insan hone ke natay se yaksan huqooq diye hain aur insaf ka taqaza bhi yehi hai. Islam se pehle zamana jahiliat mein aik taweel door aisa raha hai jis mein aurat maal ki tarah aik cheez thi. Usay thori bohat ahmiyat di bhi jati thi tou aik khadma ya kaneez se zayada nahin. Na usay husool-e-ilm ki ijazat thi. Na us ki koi zindagi thi. Qanooni malkiyat ke haq se aurat mehroom thi. Us se sirf khana pakana kapre seenay seenay dhone aur bachon ki parwarish ka kaam liya jata tha.
Dusri jagah irshad howa:
Lihaza insiat ke lihaz se bhi donon barabar hain aur insani huqooq mein bhi donon ke liye yaksan azadi hai. Mard ke muqable mein is aitbar se aurat par kisi qisam ki aisi pabandi nahin hai jis ki wajah se woh apne is haq se mehroom, ya mard ke muqablay mein passt samjhi jaye. Islam ne azdwaji zindagi ke liye nikah ke masla mein aurat ke iqrar-o-inkar ko kisi tarah azadi bakhsti hai jis tarah mard ko aata ki hai.
Isi tarah sakht majboor kun halaat mein jis tarah mard ko "talaq" ka haq diya hai isi tarah aurat ko bhi ye haq "khula" ki shakal mein aata farmaya hai aur baghair sharai ya muasharti  majburi ke dinon ko aisa karne se mana kiya hai.

Islam ne qunooni huqooq mein aurat ko mard ke masawi hi rakha hai. Woh mard ki tarah maal aur jaedadad ki malik ho sakti hai. Woh apne huqooq hasil karne ke liye deewani adalat mein har qisam ke daway daer kar sakti hai. Woh siasi aur shehri mamlaat mein sulah-o-jang mein isi tarah haqdar hai jis tarah mard haqdar hai. Gharz tamam is qisam ke mamlaat mein woh mard hi ki tarah samjhi gayi hai.

Is mein koi shak nahin ke aurat apne huqooq insani mein mard ke barabar hai. Aurat insani dunya mein aik mukamal aur mustaqil fard hai aur ijtimai zindagi ka aik aham hisa hai. Lekin in tamaam baton ke bawajod aurat sanfi aitbar se alag alag aur mustaqil sanaf hai jis ko sanaf nazuk kaha jata hai. Fitrat ne is lihaz se aurat se juda kar diya hai kyoun keh mard mard hai aurat nahin aur aurat aurat hai mard nahin. Pas Islam ne apne "ikhlaqi taleem" mein aurat ko insani huqooq ke bawajod sanfi nazakat ke aitbar se mard ke muqable mein wohi haisiyat di hai jo sakht muqable mein nazuk ko milni chahiye aur isi liye irshad Bari Ta'ala hota hai.
Aurat mard ki namoos hai chunkeh baar kafalat aur hifazat qudrat ne mard ke kandhon par rakh diya hai aur isi liye mard ko baja toor par fazilat di gayi hai. Is mein aurat ki kisi bhi haq talfi nahin hoti jub keh aurat har shoba mein mard ke barabar hai aur usay wohi huqooq hasil hain jo aik mard ko. Insani huqooq mein aurat mard se zarrah barabar bhi kam nahin.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker