Apni Madad Aap Essay In Urdu Jahalat Taraqi Ki Dushman Hai

Insan ko khud himmat karni chahiye aur apna kaam khud karna chahiye. Dusron se woh kaam karwana jo aadmi khud kar sakta ho apne aap ko nakara aur bekar kar lainay ke barabar hai. Jo log apna kaam khud nahin kar sakte woh aik tou dusre ke dast nagar ho jate hain dusre woh apni quwat kar khatam kar baithtay hain. Un mein na kaam karne ki salahiyat rehti hai aur na hi un mein khud aitmadi rehti hai. Jis tarah dusron ke dast nagar rehne wale afrad taraqi nahin kar sakte isi tarah jo qaumain dusron ki dast nagar rehti hain woh bhi taraqi nahin kar saktien.

Jo log apne kaam khud kartay hain ya apni madad aap karte hain un ko apni salahiyaton par aitmad hota hai. Apna kaam apne hathon se karne se kaam apni marzi ke mutabiq hota hai. Tasali bakhsh hota hai. Kharch kam hota hai. Jaldi hota hai. Wohi kaam aap kisi aur se karwayain tou us mein us ki marzi zaroor shamil ho gi aur kaam tasali bakhsh nahin ho ga aur us mein dair bhi zayada lagey gi. Khud kaam karain gey tou jism chust rahe ga aur aza bhi mazboot rahain gey, bimari door rahe gi. Zindagi harkat ka dusra naam hai, Agar jism harkat hi main nahin tou zinda aur murdah mein farq hi kya reh jata hai. Jo log dusron ke mohtaj ho jate hai. Un ke apne jism bekar ho kar reh jate hain aur un ki kaam karne ki salahiyat khatam ho jati hai.

Apni madad aap ke asool se bohat se mushkil kaam asan ho jate hain. Dekha gya hai ke dihat mein pohanchnay ke liye sarkain pukhta nahin hotien. Baaz auqaat gaon ke loog is tarah ke hotay hain ke woh kehte hain ke district council khud hi sarak banaye, Humain kya zaroorat hai lekin us ke baraks aisay gaon bhi hain jo apni madad aap ke asool par karband hote hain. Aisa karne se sarak achay tarika se ban jati hai aur dihat ke logon ke ilawa deegar alaqon ke logon ke liye bhi sahulat ho jati hai. Zaraye amdoraft mein izafa ho jata hai aur buses bhi chalna shuru ho jati aur gaon ki shehar se doorie khatam ho jati hai. Aur agar ye kaha jaye ke apni madad na karna aik lihaz se jahalat hai tou ye bhi yaad rakhna chahiye ke jahalat taraqi ki dushman hai.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker