Sardi Ka Mausam Essay Urdu Winter Season In Pakistan Mein Sardi Ka Mosam

Sardi Ka Mausam Essay In Urdu Winter Season In Pakistan - Pakistan samait dunya bhar mein sardiyon ka mausam intihai khubsurat hota hai jub darakhton ki tehniyon par safaid barf aur paharon ko dhankti hoi barf har manzar haseen bana deti hai. Bohat se log sardi ke mausam mein mukhtali sard ilaqon ki sair ka programe bhi banatay hain aur khuch tou apne mulk se bahir kisi dusre mulk mein sardiyon ki chuttiyan guzarnay chalay jatay hain. Ye sardi ka khubsurat mausam ki hota hai jo saiyahon ko apni janib matwajuh karta hai.

Qudrat Ka Atiya: Qudrat ne apni kamal shafqat se sard ilaqon ko khusk mewon ki daulat se bhi nawaz rakha hai. Pakistan ke sard ilaqon ke log apne gharon mein bhi phaldar darakht lagatay hain aur in mewon ke baqaida baghaat bhi hote hain jahan se log garmiyon mein khareed kar inhain apne makanon ki chaton par daal kar khushk kar ke inhain zakheera kar laitay hain aur sardi ke mausam mein kamron ke andar angeethiyon ke paas baith kar khoob mazay lay lay kar khatay hain aur sardi ke asar ko kisi had tak zail kar dete hain.

Dunya Ke Dusre Mumalik Mein Sardi Ka Mausam: Pakistan ke shumali ilaqon aur degar sard ilaqon ke ilawa dunya ke dusre mumalik mein sardi apne joban par bhi ho tou zayada takleef ka baes nahin banti. Lekin Amreeca aur Canada samait dunya ke baaz mumalik mein tou baaz auqat sardi apne pichlay sare record tor deti hai aur shadeed baraf bari se androon e mulk aur beron e mulk janay wali sari parwazain multawi bhi ho jati hai lekin manchalay is shadeed sardi se bhi lutf andooz honay ka koi mauqa hath se nahin janay detay. Woh baraf ke mujasmay bananay ke sath sath baraf bari mein tasaweer banwatay hain aik aik dusre par barf ke golay bana kar barsatay hain. Lekin maqami logon ki aksariyat is tarah ki shadeed sardi mein apne gharon mein baith kar mausam behtar honay ka intezar karti dikhai deti hai. Karachi aur degar sahili ilaqon mein tou sardi wese hi mamooli parti hai. Baqi medani ilaqon mein garam kapron se guzara ho jata hai dehati log apna kaam khulay medanon mein dhoop mein karte hain lihaza woh ooni chadar waghera se hi guzara kar laitay hain jabkeh ghareeb log sooti kheeson se hi kaam chala letay hain.

Heater Ka Istemal: Pakistan mein assoda haal tabqa heaters se sardi ko maar bhagata hai lekin bohat se aise ilaqe hain jahan sardiyon mein sui gas bhi dastyab nahin hoti aise mein unhain koelon aur lakriyon ka sahara laina parta hai. Shehron mein sarkari daftaron aur sarkari rehaish gahon mein sui gas ke heater taqreeban har kamre mein hukumat ki taraf se nasb hotay hain. Din ke waqt qudrati heater yani suraj hi aksar logon ki sardi ko maar bhaganay mein hath batata hai.

Barsat o Hawa: Pakistan bilkhasoos wasti aur janoobi punjab mein sardi tab takleef deh surat haal ikhtyar karti hai jub barish aa jaye aur barish ke sath thandi hawa bhi chal paray tou phir admi waqai preshan kar dene wali surat haal se dochar ho jata hai aur in halaat mein log ghar ke andar hi baithnay par majboor ho jatay hain.

Sardi Aur Talib Ilm: Sardi ka mausam un talib ilmon ke liye bhi takleef deh hai jo paidal ya cycle par school aur collage jatay hain khas tor par subah ke waqt.

Awam khas tor par nichlay tabqe ke liye mausam garma sarma se behtar hai kyun keh is mein halkay aur sastay libas se guzara ho jata hai aur sonay ke liye bhi ghareeb admi aik dari aur takiye se kaam chala laita hai. Jhonpriyon mein rehne walon aur foot pathon par sonay walon ke liye sardi ka mausam khasa preshani ka sabab banta hai.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker