Communication Essay In Urdu Importance Of Communication Hindi Essay Paragraph Quotes

Communication Essay In Urdu Ablagh Aama / Zuban Ki Ahmiyat: Jahan kamyabi ke liye degar hunar aur maharatain kargar sabat hoti hai wahan communication (ablaghiyat) ki maharat bhi aham kardar ada karti hai yani rozmara ki bol chal aur muashre mein dusron se hum kalam hone ki aisi salahiyat ho keh log andaz kalam aur zuban se ghair mamooli tor par mutasir hon aur yehi bol chal aur zuban aap ko mustaqbil mein kamyab career tak rasai dila sakti hai agar aap mein communication ki salahiyat mosar nahin hai tou aap behtar mustaqbil hasil nahin kar sakte aur na hi kisi ache adare ko join kar sakte hain. Zuban ki is khoobi ki wajah se aap har maidan mein khud aitmadi se kamyab ho sakte hain aur apna khayal aur nazria paish kar sakte hain, agar  koi shakhs achi tarah apna muda hi bayan nahin kar sakta tou woh muashre mein khak taraqi kare ga is liye communication ko zindagi ke har shobe mein bohat zayada ahmiyat hasil hai. Kyoun keh kisi bhi field mein har tarah ke kaam mein iblagh ama ko markazi ahmiyat hasil hoti hai is ke baghair koi bhi tanzeem, idara hata keh muashra qaim nahin reh sakta. Zuban har chez ka dil hai aur muashre mein khayalat aur maloomat ka tabadla isi ke zariye hota hai aur is mein mukamal aboor hi aap ko kamyab bana sakta hai aap ki zindagi mein aik roshan mustaqbil (future) mein communication ke hazaron fawaid hain.

Agar aap mein bolne aur samajhne ki behtareen salahiyat ho tou aap aik kamyab talib ilm ban sakte hain is ke baad aap isi hunar ki badolat kisi bhi adaray mein apna muqam paida kar sakte hain is ke liye sub se pehle har idara interview se is maharat ko aur rawaiya ko janchta hai agar umeedwar ki zuban (communication) achi hoti hain tou us ko adaray mein khidmat sar anjam dene ka moqa faraham kiya jata hai.

Is ke baad zindagi ke har shobay mein communication ki maharat rerh ki hadi ka kaam karti hai is ke zariye kisi bhi muashray ya infaradi tor par kisi fard ke masail sunay jate hain aur us ko hidayat ya maloomat bhi di jati hain, aik muashra dusre muashre se ham ahang sirf aur sirf zuban ki bunyad par hota hai. Dusre mulkon se taluqat barhte hain jis mein ala communities aur safeer muntakhib kiye jate hain. Jo aik dusre ke masail par sair hasil behas karte hain aur mumkina hal ke liye mukhtalif tajaweez paish karte hain.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker