Badshahi Mosque Essay Urdu Badshahi Masjid Mazmoon A Visit To

Badshahi Mosque Essay In Urdu

Badshahi masjid ki tameer 1671 mein shuru hoi aur 1673 mein isay mukamal kar liya gaya tha is intihai khubsurat masjid ko mughlon ke dor mein tameer karwaya gaya jo aaj puri dunya mein mashoor hai. Masjid Pakistan aur janoobi asia ki dusri bari masjid hai jabkeh isay dunya ki panchwien bari Masjid hone ka azaz hasil hai ye iqbal park mein waqia hai. Khubsurati aur azmat se mazeen ye masjid lakhon dilon mein basti hai 1993 mein Pakistani government ne UNESCO ko isay almi saqafti wirsa ki list mein shamil karne ki tajweez di.
 
7 july 1799 mein is par sikhon ne qabza kar liya tha 1841 mein jang ke doran sikhon ne masjid ke bare minar ko sikh mehrani chand ke sapahiyon par bandukon se hamla ke liye istemal kiya.

Hamlay se imarat ko bhi nuqsan hua. Angreezon ne isay dobara tameer kiya magar is ke asal fan-e-tameer ke muqabil tameer na thi. 1849 mein jub east india company ne Lahore par fatah hasil ki tou jis tarah sikh is masjid ko istemal kar rahe thay bilkul isi tarah istemal kiya magar sikhon ki hukumat se bartanwi hukumat tak masjid ko fauji jagah ke tor par istemal karne par Musalmanon ne bohat muzamat ki. Musalmanon ki barhti hoi muzamat dekh kar 1852 mein angreezon ne isay dobara Musalmanon ki ibadat ki jagah mein tabdeel kar diya. 1939 mein mein Sir Sikandar Hayat Khan ki sarbarahi mein is aali shan masjid ki muramat ka kaam shuru hua.

2000 mein masjid ke main hall ke farsh ki tabdeeli ki gayi jabkeh 2008 mein jaipur india se khasoosan mangwaye hue surkh pathar se muramat ki gayi. Ab ye khubsurat masjid apni 17 sadi ki halat mein wapas aa gayi hai. Aaj bhi bohat se Musalman har roz yahan kar apne Khuda ke samne sar basajood hote hain.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker