Mobile Phone Urdu Essay Mobile Phone Ke Faide Aur Nuqsanat Uses And Abuses

Mobile Phone Essay In Urdu: Mobile Phone Ke Fawaid Aur Nuqsanat

Science daan ya ijad karne wale jub koi cheez ijad karte hain tou un ke zehan mein insan ki falah o behbood hoti hai. Us ka maqsad zindagi ko asan banana hota hai lekin agar us ki banai hoi cheez ka istemal ghalat tareeqay se kiya jaye tou insan ko nuksan pohancha sakti hai. Bandooq ya dusre hathyar insan ki hifazat ke liye banaye gaye thay lekin insan ne is ko qatal o gharat giri ke liye istemal karna shuru kar diya. Is sabab se hum is ki ijad karne wale ya science dan ko ilzam nahin de sakte. Beeswien sadi (20th century) ke ikhtitam tak insan ne beshumar aisi cheezain ijad kar li hain jis ke istemal ne insan ki zindagi ko asan bana diya hai. Is tez raftar taraqi ne insan ki zindagi ko badal kar rakh diya hai dunya simat kar aik global village ban chuki hai. Taweel faslay mukhtasir faslon mein tabdeel ho chukay hain. Aaj ka insan asani se ghar baith kar dunya ke kisi bhi hisay mein rehne wale insan se asani se rabta kar sakta hai usay apna paigham pohancha sakta hai aur us ka paigham wasool kar sakta hai.

Mobile telephone bhi inhi alaat mein shumar hota hai. Ye aik taqatwar battery ke zariye kaam karta hai is ki khoobi ye hai keh aap is ke set ko asani se apni jaib mein rakh kar kahin bhi lay ja sakte hain aur rabta kar sakte hain. Mobile phone ke faide beshumar hain maslan motor cycle, motor car, bus mein safar ke doran aap aik dusre se rabta kar sakte hain. Lekin is ke sath mobile ke nuqsanat bhi hain tehqeeq se pata chala hai keh is se nikalne wali rays aur is ki awaz se dimaghi cancer hone ka khadshah rehta hai. Kyoun keh mobile phone ko kaan par rakh kar suna jata hai. Aik akhbari itla ke mutabiq Amreeca mein aik khatoon ne aik mobile phone company par muqadma dair kiya. Us ka kehna tha keh mobile phone ke istemal karne ki wajah se main dimaghi cancer mein mubtala ho gayi hon.

Mobile ka istemal hamare mulk mein bhi ab aam ho gaya hai ab aam tor par ye logon ki dastras mein hai aur bari farakh dili se istemal kiya ja raha hai lekin ye hadsa ka sabab ban sakta hai. Maslan aap motor cycle ya car mein safar kar rahe hain aur is doran mobile phone ki ghanti bajti hai tou foran aap isay apne kaan se lagate hain. Is doran agar aap ki tawajah taqseem ho jaye tou aap hadsa ka shikar ho sakte hain behtar ye hai keh aisay moqay par yani safar ke doran jub bhi phone aye tou gari aik taraf rok kar phone suna jaye tou behtar hai. In baton ki roshni mein hum keh sakte hain keh mobile phone ke jahan faide hain wahan nuqsan bhi hain.

Note: For students this post is also a good mobile phone speech and in examination this essay can come with different titles also and you may use this same content or paragraphs in examination if these essays will come with these names which are mention below:

Mobile Phone Advantages And Disadvantages, Life without mobile phone, misuse of mobile phone essay in hindi good or bad.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker