Spring Season Essay in Urdu Mausam e Bahar Ka Mausam

Spring Season Urdu Essay Mausam Bahar -  Lafz bahar bazat-e-khud kitna ruh parwar lafz hai. Bahar ati hai tou rang gulistan badalne lagta hai. Patay zard libas utar kar sabz makhmal ke joray pehan laitay hain. Darakht haray bharay ho jatay hain. Jahan baghon mein khak ur rahi thi ab pur kaif halchal mach rahi hai. Murjhaye hue poday sar sabz o shadab nazar anay lagte hain. Sabz shakhain khushi se jhoom rahi hain. Sabz patay hawa ke jhonkon se kheel rahe hain.

Zara bahir nikal kar bahar ka alam dekhain. Chidiyan khushi ke taranay ga rahi hain. Bulbul naghma sara hai. Chashmon se saaf shafaf pani beh raha hai. Naram shakhain jhoom rahi hain. Thandi hawa ke jhonkay dil khush kar rahe hain. Kabhi is gul ko chairtay hain kabhi us phool ko. Phool hans hand kar jhoom rahe hain. Sakhon par kaliyan raqs kar rahi hain.

Har parinda apne apne ganay ga raha hai. Koi apne Khaliq ki sana khawani kar raha hai. Koi apne hum jins ko naghma sarai mein shirkat ke liye bula raha hai ke aao mil kar khushi ki tanain bajayain. Har simt se naghma haye khush kun zehan aur dil ko saroor pohancha rahe hain. Logon ke dilon mein naya josh naya khoon gardish karne laga hai. Chehre hashah bashah nazar arahe hain. Chaman mein har taraf ranginiyan hi ranginiyan bikhri parri hain. Khushbu se dimagh motar ho raha hai jis se dil aur dimagh ko taskeen mil rahi hai. Zamane ke gham zehan se door hote ja rahe hain. Sabza zar ankhon ko tazgee bakhsh rahe hain. Khubsurat manzar dil ko khsuh kar rahe hain.

Kesa alam hai naye naye shagofay nikal rahe hain. Kaliyan chatak rahi hain. Phool hans rahe hain. Ye shagofay shabnam ke qatray se aur khubsurat lag rahe hain. Mausam bahar se bheeni bheeni khushbu dil aur nazar ki taskeen ka saman paida kar rahi hai. bahar ki rangeeniyan dil ko daulat aur sakoon ki naimat ata kar rahi hain. Is se tabiyat se mayoosi dor ho jati hai.

Bahar ka mausam zindagi ka ehsas lay kar ata hai hum insan is zindagi ki uljhanon mein itnay gum hain ke humain is mausam ki kadar tab hoti hai jub dil baghon mein khilay hue phoolon ko dekhta hai aur jub ankhon ko har taraf tazgee nazar ati hai. Is mausam par najanay kitnay shayaron ne kitabain likh dali hain ye isi baat ka saboot hai ke ye mausam na sirf zindagi ka paigham lata hai balkeh mohabbat ke ehsasat bhi zinda kar deta hai ye mausam. Na sirf insan balkeh parinday bhi khush nazar atay hain. Dor daraz ke alaqon se aur dusre mulkon se mehman parinday bhi hijrat kar ke is mausam ko dekhnay atay hain.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker