Neighbour Rights In Islam Urdu Essay Hamsayon Ke Huqooq

Hamsayon Ke Huqooq - Rozmara zindagi main insan ko jin logon se sub se zayada wasta parta hai woh us ke humsaye hain. Is ahmiyat ke paish-e-nazar Islam main parosiyon ke haqooq par bohat zoor diya gaya hai. Quran Majeed main jahan maa, baap, miyan, biwi aur dusre rishtadaron ke sath husn salook aur achay bartao ka hukam diya gaya hai wahan parosiyon ke baray main bhi is ki takeed aur hidayat farmayi hai aur teen qisam se parosiyon se husn salook ki khasoosi talqeen farmayi gayi hai. Pehle woh parosi jin se paros se elawa bhi koi rishta ho. Dusre aisay parosi jin se kisi kisam ki rishtadari na ho sawaye humsayegi ke. Teesray woh parosi jin se aarzi toor par taluqat qaim ho jayain jesay safar ke sathi ya madrasa ke sathi wagera. In teeno qisam ke parosiyon aur sathiyon ke sath husn salook ka hukam diya gaya hai. Parosi ke dukh dard ghum aur khushi main shareek honay ka hukam hai.

Agar prosi ko madad ki zaroorat ho tou us ki madad karni chahiye. Woh qarz mangay tou usay do. Mohtaj ho tou us ki mali madad karo. Bimar ho jaye tou ilaaj karao. Us ke ghar, khanay peenay ka khayal rakho. Usay koi aizaz hasil ho tou usay mubarakbad do. Musibat ke waqt us ki diljoyi karo. Baghair ijazat ke apne ghar ki deewar itni unchi na karo ke us ke liye roshni aur hawa ruk jaye. Kahin se koi mewa ya soghaat wagera lao tou usay bhi bheejo.

Agar parosi kisi wajah se mazoor ho tou us ki madad Islami fareeza hai koshish ki jaye ke us ke liye aysa kaam muhaiya kiya jaye jis se woh apni rozi kama sakay. Agar woh is qabil bhi nahin tou us ki khoraak, libas, makan aur araam ka intizam karna hamsaye ka farz hai. Islam hargiz is baat ki ijazat nahin deta ke aap pait bhar ke soo jayain aur aap ka hamsaya bhooka soo jaye.

Aik baar Aap (SAWW) ki mehfil main aik aurat ka zikar aya ke woh bari ibadat guzaar aur parhaiz gaar hai din main rozay rakhti hai aur raat ko tahajjud ada karti hai lekin parosiyon ko tang karti hai.  Aap (s.a.w.w) ne farmaya:
"Woh Dozakhi Hai"
Aur aik dusri aurat ke baray main arz kiya gaya keh woh sirf faraiz ada karti hai lekin humsayon key huqooq ka khayal rakhti hai, Hazoor (SAWW) ne  farmaya:
"Woh Jannati Hai"
Bahisay Musalman hamain apne hamsayon kay haqooq, araam aur sakoon ka mukamal khayal rakhna chahiye. Koi aysa kaam hargiz nahin karna chahiye jo humsaye ke araam aur sakoon main khalal dalay. Ho sakta hai ke paros main koi bimar ho jisay aap ki hamdardi ki zaroorat ho. Humain chahiye ke hum apne humsayon ki khabargiri kartay rahain. Apni daulat main un ka hisa bhi samjhain.

Rasool Kareem (SAWW) ne parosiyon ke baray main itni shiddat se takeed farmayi hai ke gumaan hota hai ke kahin warasat main bhi parosiyon ka hisa na rakh diya jaye.

Allah Ta'ala ne ye baat Quran Sharif main waziha toor par bayan farma di hai ke kafar aur mushrik hargiz Musalmanon ke dost nahin ho saktay lekin is ke bawajod jahan hamsayon ke haqooq ki baat ati hai wahan riayat bhi de di hai ke khawa tumhare hamsayon main ghair muslim hi kyoun na ho un se bhi husn salook karo un se bhi bilkul wesa hi bartao karo jesa ke apne Musalman bhaiyon se kartay ho un ki bhidekh bhaal aur khoraak wagera ka isi tarah khayal karna chahiye jesay hum apne Musalman hamsayon ka rakhtay hain. Agar hum dekhtay hain ke hamara parosi musibat main hai zulam ki shikar hai tou hargiz us ko akela nahin chorna chahiye balkeh jahan tak mumkin ho us ki madad kare us ka sath de.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker