My Aim In Life Urdu Essay Mera Nasb ul Ain Mera Maqsad e Hayat

My Aim In Life - Mujhe apne mulk se bohat mohabbat aur apni qaum se pyar hai. Meri shadeed khawahish hai ke mulk aur qaum ki khidmat karon. Mere dil main khidmat ka bepanah jazba mojod hai. Is liye mera irada hai ke doctor ban kar mulk aur qaum ki khidmat karon aur masali khidmat, diyanat aur farz shanasi ka muzahira karon.

Kayi saal pehle aik burha mareez lahore ke aik bohat bare hasaptal ke bahir foot path par sisak sisak kar mar gaya kyoun keh usay hasaptal main dakhla na mil saka aur private toor par ilaaj karane ki bhi sakat nahin rakhta tha. Us ne mujhe hila kar rakh diya aur main ne doctor ban kar mulk ki khidmat karne aur awaam ke kaam anay ka faisla kar liya.

Meri khawahish hai ke hasaptal main sirf mareezon ka ilaaj hi na kiya jaye balkeh logon ko sehat ke aam asool bhi samjhaye jayain takeh log sehat mand rahain. Aur unhain hasaptal anay ki zaroorat hi na paray. Ayenda ahtiyat karne se shafayab hone wale mareez bhi baar baar bimar na hon.

Hamare mohalay mein aik bohat hi ghareeb khatoon rehti thi. Us ka naujawan beta hadsay ka shikar ho gya. Wo sakht zakhmi tha magar us ke paas ilaj karwanay ke liye khuch bhi nahin tha. Wo ronay le siwa khuch bhi nahin kar sakti thi. Ajeeb bebasi ka alam tha. Mohalay daron ke doctor ko bulaya aur mil kar fees aur medicines ka intezam kiya. Mera tasar tha tha doctor ko us ghareeb khatoon se fees nahin laini chahiye thi.

Meri koshish ho gi ke is maqsad ki takmeel ke liye aisay doctors ki team tayar ki jaye jo sub khidmat ke jazbay se sarshar hon. Yaqeenan aisay log mojood hain, bas unhain tehreek dene ki zaroorat hai. Wesay meri koshish ho gi keh doctaron ko ala khidmat ke aauz achi tankhawahain hi de sakon takeh woh zayada dil jami se kaam kar sakain. Khuda Ta'ala mujhe is maqsad main kamyab kare.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker