Health is Wealth Essay in Urdu Tandrusti Hazar Naimat Hai

Health is Wealth urdu essay - Dunya ki sub se bari naimat ya daulat sehat hai. Aur jis ko ye naimat hasil hai usay deen aur dunya ki har rahat hasil hai. Khuda ki beshumar naimaton se Insan us waqt hi khush ho sakta hai jub woh tandrust aur sehatmand ho. Aik sehatmand admi khush-o-khuram rehta hai aur kamyab zindagi guzarta hai. Zindagi aur daraz umar ka raaz isi main muzmar hai is ke baraks jo shukhs is naimat se mehroom hota hai us ke liye dunya aik dozakh hai khawah woh kitna hi ameer aur kabeer kyoun na ho. Agar sehat jesi naimat us ke paas nahin us ki zindagi haram hai. Aur insan sust, ghamgeen aur udaas maloom hota hai.
Sehat ke baghair na tou Khuda ki ibadat ho sakti hai aur na hi koi dusra dunyawi kaam sar anjam diya ja sakta hai. Bimar shukhs dusron ka mohtaj hota hai. Aik bimar admi ki zindagi na sirf us ke apne liye wabal-e-jaan hoti hai balkeh dusron ke liye bhi baes-e-pareshani hoti hai. Jo shukhs aksar bimar rehta hai woh apne azeez rishtaydaron ke liye boojh ban jata hai. Rafta rafta us se sub munh mod laitay hain aur koi us ke kareeb nahin ata. Bimar admi tanha aur lachaar ho kar reh jata ha mizaj chirchira ho jata hai. Baat baat peh gusa ata hai.
  
Sehat aur tandrusti barqarar rakhnay ke liye warzish bohat ahem hai. Subah aur sham khulay muqam peh taza hawa saans ke zariye andar lay janay se jism apne tamam af'aal dandehi se anjam deta hai aur bimari paas bhataknay nahin deta. Warzish karnay se insan tandrust aur hashash bashash rehta hai.
  
Sehat ko barqarar rakhnay ki aik surat ye hai ke khanay peenay main ehtyaat se kaam liya jaye. Saaf suthri ghaza khayi jaye. Saaf pani piya jaye. Khanay aur sonay ke auqaat muqarar hon. Sehat ka aik sunehri asool ye hai ke khana us waqt khao jub khoob bhook lagay aur jub thori si bhook baqi ho tou khana choor de.
  
Sehatmand rehnay ke liye ghusal bhi zaroori hai. Kyoun keh nahanay se masamaat khul jatay hain aur jism se paseena asani se kharij ho jata hai. Insan chust aur chalaq rehta hai. Aur bimari ka andesha nahin rehta. Khasoosan talib ilmon ko apni sehat-o-tandrusti ka khaas khayal rakhna chahiye. Jahan tak mumkin ho khush rehne ki koshish ki jaye.

Subah ki sair lazmi karni chahiye. Kaha jata hai keh aik sehatmand dimagh aik sehatmand jism main hi hota hai. Jism aur dimagh ki tandrusti ke liye lazmi hai ke talib ilm sehat ke asoolon ke waqif ho. Ranj-o-ghum ko bhula diya jaye. Naiki ikhtyar ki jaye aur burayi se door raha jaye. Har shukhs ke liye hifzan sehat ke asoolon se waqfiyat zaroori hai. Munasib ahtyat aur parhez se insan bohat si bimariyon se door reh sakta hai.

Share this :

1 Comment
avatar

nice and thx it help me alot

Balas

eXTReMe Tracker