A Memorable Journey Urdu Essay Aik Yadgar Safar Murree Ki Sair

Memorable Journey Urdu Essay Yadgar Safar - Youn tou mujhe safar karne ka kayi baar ittefaq hua hai magar aik safar jo hum ne pichli chutiyon mein kiya khasa dilchasp tha aur humain ab tak yaad hai. Hua youn ke chutiyan shuru hone se pehle hi salah mashwaray hone lagey. Koi khuch tajwwez paish kar raha tha, koi khuch. Abu ne tajweez paish ki ke agar tum log augusa ka mahina mein murree ke pahar par chalo tou 14 august bhi dekhain gey aur sehat afza muqam ki sair bhi karain gey. 14 August ko murree mein bohat hi ronaq hoti hai kyoun ke wahan par mulk ke har hisay se log aye hue hote hain. Mausam khushgawar hota hai. Barsat ke habs ke din bhi wahin guzar lain gey. Hum sub ne Abu ki tajweez se ittefaq kiya aur chutiyan hote hi apna apna school ka kaam karna shuru kar diya takay murree jane se pehle zumadari se farigh ho jayain. Zehan se ye bojh utra ho ga. Befikar ho kar sair karain gey.

Safar ka aghaz karne ke liye pehli august ki tareekh muqarar hoi. Pehli august bhi aya hum us din bohat hi khush thay kyoun ke hum sub ghar wale mil kar ja rahe thay. Murree dekhne ka ye hamara pehla moqa tha. Is liye ye safar hamare liye bilkul hi naya tha. Koh murree ka tasawar hi hamare liye khushi ka baes ban raha tha. Us din hum mamool se bhi jaldi uth khare hue. Ham nashta karte hi chal paray. Abu ne car nikali aur saman car mein rakha aur ham rawana ho gye.

Aaj ham is qadr khush thay ke kabhi kahin jate hue itnay khush nahin hote thay. Gari multan road par chal rahi thi. Ham ravi road pohanche aur wahan se guzartay hue darya-e-ravi ke pul par minton mein pohanch gye. Darya e ravi par bohat se log sair karne aye hue thay. Koi apne doston ke sath koi apni family ke sath. Koi boating kar rahe thay koi sath wale park mein grass par baithay thay. Hum aam kha rahe thay aur yahan par bohat ronaq thi. Pul par abu ne 10 rupees toll tex ke diye aur agey nikal gye. Ab hum GT Road par pohanch gye thay. Shahdara se guzar kar lahore ki hudood se nikal gye. Abhi aik ghanta hua tha ke hum gujranwala shehar pohanch gye. Hum us ke railway station se guzar kar agey nikal rahe thay. Us ke uper pul bhi bohat acha dikhai de raha tha. Chand minton mein yahan se guzar kar gujranwala se bhi nikal gye. Isi tarah bohat se chote shehar atay rahay aur hum wahan se guzartay rahe aur jhehlum pohanch gye. Yahan hum thori dair ke liye thehre aur aik restaurent mein chale gye wahan hum ne bottle pi. Abu aur Ami ne chaye pi. Isi tarah wahan se bhi khushi khushi agey chal diye. Khuch dair hamari car chalti rahi aur hum rawalpindi pohanch gye. Rawalpindi aur Islamabad aaj kal aik hi shehar ban gya hai. Murree ko janay ke liye ye acha rasta hai jo Islamabad ke bahir se hi seedha murree ko jata hai. Sar sabz shadab podon ke darmiyan se guzartay hue ham ye alaqa se bhi nikal aye. Abhi thori dor pohanche thay ke charhai shuru ho gyi. Ab pahar nazar ana shuru ho gye aur thanday pani ke chashmay bhi yahin se shuru ho jate hain.

Aisay hi paharon par safar kartay hue hum murree pohanchay. 14 august kyoun ke nazdeek araha tha murree ki ronaq parh rahi thi is wajah se mall road par bohat rush tha. Larkiyan sair karti nazar arahi thien, bachay bhi bohat khush nazar arahe thay. Dekhte hi dekhte barish honay lagti aur khuch dair baad barish ruk jati. Hum sara din qudrat ke nazaron se lutf andooz hotay rahay. Murree ki sair is qadr dilchasp tha ke is ke manzar meri ankhon ke samne aaj bhi isi tarah phir rahe hain.

Share this :

3 Comment

eXTReMe Tracker