Waqt Ki Qadar Urdu Essay Waqt Ki Pabandi

Pabandi e Waqt essay in urdu Waqt kisi ka intezar nahin karta. Ghari ki soiyan kabhi nahin ruktien. Jo waqt se faida utha laita hai waqt us ke kaam ajata hai aur jo waqt ki qadar nahin karta waqt usay koson pechay chhor kar agey nikal jata hai. Waqt aik azeem daulat hai wohi insan dunya mein izzat hasil kar sakta hai jo waqt se faida uthata hai, us ki qadar karta hai aur usay zaya nahin karna. Hamain chahiye ke waqt zaya na karain, har kaam waqt par karain aur adat ikhtyar karain aur kabhi aaj ka kaam kal par na dalain. Har kaam apne muqarara waqt par karna chahiye aaj ka kaam kal par nahin dalna chahiye. Yehi pabandi waqt hai.

Wo log waqt ki qadar nahin kartay wo dar haqeeqat aik qeemti khazana zaya kar dete hain. Guzra hua waqt kabhi kisi qeemat par bhi wapas nahin ata. Pabandi waqt ke sath agar hum mehnat karain tou hum apni iqtisadi halat darust kar sakte hain. Izzat ki zindagi basar kar sakte hain youn hum kisi ke mohtaj nahin hon gey.

Nazam qainaat bhi huamain waqt ki pabandi ka dars deta hai. Har mausam apne waqt par badalta hai. Din raat bhi waqt ke paband hotay hain. Insan phir bhi agar apne aap ko pabandi waqt ka aadni nahin banata tou ye us ki na samjhi ya na ahli ke siwa khuch nahin hai.

Bacha agar waqt par school na jaye tou taleem hasil nahin kar sakta. Kasan agar waqt par na boye, pani na dey aur fasal na katay tu khuch bhi hasil nahin kar sakta. Isi tarah karkhana dar kaam na karwayer aur mazdoor kaam na kare tou usay khuch bhi hasil nahin ho ga. Dunya mein kamyab zindagi guzarnay ke liye nahayat zaroori hai ke aik lamha bhi zaya na kiya jaye. Kehtay hain ke aik minute ka bhula hua lakhon kos dor reh jata hai. Ye sahi hai jo log is baat ki qadar nahin kartay dolat un se ruth jati hai. Izzat un se munh mor laiti hai aur wo sari zindagi nakaam guzaartay hain. Aik second bhi zaya karna nahin chahiye kyoun ke jo kaam waqt par kar liya jaye wohi behtar hota hai. Agar usay altawa mein daal diya jaye aur woh aksar auqat namukamal hi rehta hai. Chunachay waqt ki qadar karne ka behtareen tareeqa ye hai ke jo kaam jub karna chahiye us ko foran kar liya jaye.

Share this :

2 Comment

eXTReMe Tracker