Chandni Raat Essay in Urdu Mazmoon Chand Raat Moon

Allah Ta'ala ne insan ko is qadar naimatain aata ki hain ke unhain shumar bhi nahin kiya ja sakta. Us ki di hoi naimaton mein chandni raat ka bhi shumar hota hai. Chandni qudrat ka aik haseen jameel tohfa hai jo dil ko sakoon aur aankhon ko thandak deta hai. Ye anmol baish baha aur ajeeb-o-ghareeb naimat hai. Har shakhs chandni raat se lutf andoz hota hai. Chandni raat ki latafaton aur kaifiyaton ko ahata tehreer mein lana bohat hi mushkil hai kyoun keh jis qadar is ka lutf mehsoos hota hai woh khuch aur hi shay hai. Is ka bayan lafzon mein mumkin nahin. Jub insan tareek raton se benayaz ho jata hai tou chandni raat ki hasrat dil mein liye howe is ka intzar karta hai.

Chandni ka lafz bazat-e-khud apne andar husn-o-jamal ki ranaiyan dil faraibi aur dil kashi ke samandar panha rakhta hai. Chand ka lafz lakht-e-jigar ke liye bhi istmal hota hai aur mehbob ke liye bhi istmal hota hai kyoun keh is mein bari khubsurati hoti hai. Yehi wajah hai ke chand ka lafz khubsurat se khubsurat cheez ke liye istmal hota hai.

Chandni raat mein bagh ki sair bohat hi lutf deti hai. Is raat mein kalyon ka rang bohat nikhra howa maloom hota hai. Sabza dil fraib ho jata hai. Hare bhare kheet pur kaif nazara paish karte hain. Jub darakhton ke sabz paton mein se chandni chn chn kar aati hai tou zameen par kitni pyari lagti hai. Mausamon mein khushnuma mausam bahar aur raton mein chandni raat khubsurati ka behtareen namuna hain. Barkha ke baad fiza dhuli hoi hoti hai. Aisay mein chandni aur bhi dil ko lubhati hai. Pur sakon talaab apne daman mein aks mahtaab liye pyar karta howa kitna mutmaeen aur pur sakon dikhai deta hai.

Chandni Raat Tera Kya Kehna...
Tou Ne Pehna Hai Noor Ka Gehra...

Chaudhvin raat ki chandni pure joban par hoti hai. Har cheez dhoodh se dhuli hoi kitni pyari lagti hai. Charon taraf noor hi noor dikhai deta hai. Maidan hon ya sehra sub par chandi ka pani bhara howa maloom hota hai. Darya ka kinara bhi aisay mein bohat haseen paish karta hai. Jhonpriyan bhi itni safaid dikhai deti hai jese sang-e-mar mar ke mehalat. Aisay maloom hota hai jese tamaam ka tamaam alam darya-e-noor mein ghota zan hai. Youn dikhai deta hai ke asman se noor ka sailaab jari hai.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker