Urdu Essay Himmat Kare Insaan To Kya Nahi Ho Sakta

Himmat Kare Insaan Tou Kya Nahin Ho Sakta, koi mushkil aisi nahin ke asan ho so sakay. Insan ko ghabrana nahin chahiye. Goya ghabranay ki bajaye sabar aur himmat se kaam lay tou har mushkil asan ho sakti hai. Chunachay insan ko himmat, tahamal aur burdbari aur pukhta iraday se har kaam sar anjam dena aur usay paya takmeel tak pohanchane ke liye koshish karni chahiye aur us mein jo dushwariyan aur mushkilat ayain unhain bardasht kar ke aur sabat qadam reh kar kamrani aur kamyabi se hamkinar hone ki koshish karni chahiye. Himmat mushkil se mushkil kaam ko bhi asan bana deti hai. Himmat Khuda ki naimat aur salahiyat hai. Is salahiyat se har insan ko Allah Ta'ala ne nawaza hai. Agar koi is salahiyat se kaam laita hai aur is se faida bhi uthata hai tou har mukshil kaam asan hota rehta hai. Jo is salahiyat ka istemal nahin kartay wo us salahiyat se mehroom ho kar nakamay ho jate hain.

Allah Ta'ala ne insan ko jitni salahiyat bakhshi hain un ko nikhara bhi ja sakta hai aur unhain farogh bhi diya ja sakta hai. In ko farogh ata karne se ye mufeed tar sabat hoti hain aur agar in ko daba diya jaye tou ye salahiyatain khatam bhi ho jati hain. Dunya ki tamam tar taraqi, ijadat, tehqeeq, science ke karname sar anjam diye, chand tak pohancha, insan ki hawa, aag aur pani par hukmarani ye sub himmat se hi mumkin hain. Himmat ke bal botay par insan naam paida kar sakta hai. ilm hasil kar sakta hai. Mitti se sona paida kar sakta hai. Gumnami ki tareekiyon se nikal kar shoshrat aur daulat hasil kar sakta hai. Kisi insan ne bhi aaj tak himmat aur mehnat ke baghair kamyabi hasil nahin ki.

Bare bare rehnuma, scientists, doctors, mahireen ye sub log himmat aur mehnat se hi kamyab hue hain. Un ke iraday musamam thay. Unhon ne mushkilat ka hoslay se muqabla kiya. Mushkil kaam usay kehtay hain irada ki pukhtagi aur himmat darkar hoti hai aur mumkin kaam wo hai jisay karne ki insan mein ahliyat na ho. Jis kaam ko karne ki Allah ne insan ko salahiyat di hoi hai wo kaam insan ke liye namumkin nahin. Wo kaam jo sirf Khuda hi kar sakta hai insan ke liye namumkin hai. Himmat ke agey na samandar rukawat ban sakta hai na pahar. Tarikh aisay karmanon se bhari parri hai.

Share this :

1 Comment
avatar

Awesome essay it helped me a lot

Balas

eXTReMe Tracker