Television Urdu Essay Advantages Of Television TV

Urdu Essay Televion se murad woh aala hua jis ke zariye hum door baithay bhi nazara kar sakte hain. Aaj kal ye angreezi ka lafz ban gaya hai aur istilah aam mein isay TV bhi kehte hain jo televion ki mukhafaf surat hai.

Tv mojooda door ki azeem aur heraan kun ijad hai. Ye science ka umda karishma hai. Is ka mojad Scotland ka aik science daan hai jis ka naam John Logie Baird hai. Tv ke zariye aap ghar baithay hi dunya ka nazara kar sakte hain. Dunya ki khabrain sun sakte hain. Apni amkhon se waqiat zamana ka nazara kar sakte hain. Radio bhi waqia aik herankun ijad hai magar Tv us se bhi sabqat lay gaya hai. Radio mein tou sirf hum sun sakte thay lekin Tv par tasweerain bhi sath ati hain jis se tabiyat zayada mehzooz hoti hai. Youn lagta hai jese sub khuch hamare samne hi ho raha hai.


Tv par qisam qisam ke programs dikhaye jate hain. Films, khabrain, mushaira, ganay, naghma, numaishain, adbi ilmi taqreebat aur kheelon ke match sub khuch dikhaya ja raha hai. Cricket ka match Australia ya England mein ho raha hai aur aap yahan baithay khaladiyon ki aik aik harkat ko achi tarah se aisay dekh rahe hain jese aap usi ground mein baithay dekh rahe hon balkeh baaz logon ka khayal hai ke Tv par jis qadar saaf aur sahi dekha ja sakta hai wesa saaf ticket kharch kar ke bhi nahin dekha ja sakta hai.

Pakistan mein tv ka aghaz 1964 mein hua tha. Aaj ka rawaj is qadar barh gaya hai ke har dusre ghar mein tv mojood hai. Ab tou rangeen tv bhi agaye hain jis rang ke libas mein koi muqarar taqreer kar raha ho ya jis libas mein koi ga raha ho aur jis tarah ke sabzazar ya gulistan ya koi scene dikhaya ja raha ho tv par rang ki wohi shokhi wohi damak aur chamak aur wohi ranai nazreen dekh sakte hain. Television par tameeri aur islahi program bhi dikhaye jate hain. Aaj kal bohat darama wagera tv par arahe hain, mili naghmay jazba hubul watni paida karte hain.

Mulki aur ghair mulki halaat ka pata rozana tv par nashar ki gayi khabaron se chalta rehta hai. Is ke ilawa halat hazra par tabsare bhi hote hain jin se haqeeqat haal ayan hoti rehti hai. Tanqeedi pehlu bhi baaz programs mein paya jata hai. Mulk ki bari bari shakhsiyaton ko is liye mutarif karaya jata hai ke unhon ne mehnat mushaqat ke kin kin marhalon se guzar kar ye muqam hasil kiya. Un ki zindagi ke roshan pehlu se naujawan tabqon ko sabaq bhi milta hai. Doran interview un ke ala kardar aur un ki salahiyaton ka pata chalta hai. Sehat aama ke mutaliq bhi mashware nashar kiye jate hain. Zarat ki taraqi ke liye tou aksar program ate rehte hain.

Tv se sirf khawanda tabqa hi faida nahin uthata balkeh na khawanda tabqa bhi isi tarah hi faida uthata hai. Balkhe jo log akhbar aur rasala wagera nahin parh sakte unhain bhi baghair parhe maloomat hasil ho jati hain. Tv sirf izafa maloomat ke liye hi mufeed nahin balkeh sare din ki thakan ke baad sham ko hamare liye tafreh ka kaam bhi deta hai. Sham ko jo log tafreh ke liye bahir nikal jate thay aaj kal ghar mein baith kar tafreeh kar letay hain. Film ke rasya bhi ab aksar Tv par hi filmain dekhte hain. Agar koi aisi film dekhna maqsood ho jo Tv par nahin arahi tou Vcr ya Dvd players istemal kar ke apni pasand ki film dekh sakte hain.

Advantages And Disadvantages:
Jahan Tv ke beshumar faide hain wahan bilashuba khuch nuqsanat bhi hain. Kache zehan ka ka nojawan tabqa jub ghair islami programs dekhta hai tou us mein bhi usi qisam ke rujhanat paida ho jate hain aur is tarah mulk aur qaum ke liye muasharti masla khara kar deta hai. Is liye Tv par aisay program nashar kiye jane chahiyain jo islahi aur tameeri hon. Is tarah Tv aur bhi zayada mufeed sabat ho sakta hai.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker