Natural Resources Of Pakistan Ke Masail Urdu Essay Qudrati Wasail

Pakistan Ke Qudrati Wasail: Pakistan mein beshumar natural resources tou hain lekin un ke husool aur istemal ke liye tamaam afrad ki mehnat aur lagan darkar hai, kyoun ke in qudarti wasail se insani madad ke baghair faida nahin uthaya ja sakta. Pakistan mein har government ki ye koshish hoti hai ke mulk mein mojood natural resources ko jald az jald talash kar ke un ka husool mumkin banaya jaye aur phir un ka behtar se behtar tareeqay se istemal kiya jaye. Kyoun ke us ke baghair Pakistan ko taraqi yafta mumalik ki saf mein khara karna na mumkin ho ga. Pakistan mein natural resources ke reserves ki tafseel darj zail hai.

Maadni Wasail - Mineral Resources:
Pakistan mein bay shumar mineral resources hone ke bawajod un ka abhi tak husool aur istemal mumkin nahin ho saka. Us ki bunyadi wajuhat mein mahireen ki kami aur science ki taraqi ka zayada na hona hai. Is ke ilawa external aid par zayada aitmad karna bhi un wasail ki dastyabi mein aik rukawat hai. 2002-03 mein Pakistan ke mineral resources ke shoba ne 9.5% salana ke hisab se taraqi ki. Economic survey of Pakistan 2002-03 ke mutabiq  Mining and Quarrying mein 137.2 FDI million dollar thi. Bharhal us waqt jo maadni wasail hasil kiye ja chuke hain un ki tafseel darj ki ja rahi hai.

  1. Loha - Iron: Pakistan mein lohay ke bare bare zakhair Kala Bagh, Makarwal, Chitral, Ziyarat, Chaghi, Quetta, Hazara aur Sargodha mein paye jate hain. Lekin mulki zara se hasil hone wala loha Pakistan ki zarooriyat ke muqablay mein bohat kam hai. Is liye Karachi steel mill ka khaam maal beron-e-mulk se mangwana parta hai. Kyoun ke Pakistan mein milne wale lohe mein Iron ki sharah 30-35% hai. Pakistan mein Langrial aur Nok Kundi mein bhi lohe ke reserves daryaft howe hain. Isi liye Nok Kundi mein aik steel mill lagane ke iqdamat par hukumat ghoor kar rahi hai.
  2. Tanba - Copper: Tanba aik qeemti dhat hai jo ke bijli ki masnuat mein aam istemal hoti hai. Balkeh bijli ki tarain tanba se hi tayar ki jati hain. Pakistan mein balochistan ke zila chaghi meintaqreeban 260 million ton tanbay ki kham dhat ke zakhair daryaft kiye gaye. 
  3. Chromite: Pakistan mein chromite ke bare reserves baluchistan mein hi chaghi aur kharan ke muamat par bhi aur wadi soob ke Muslim bagh ke muqam par paye jate hain. 
  4. Silica: Silica ke zakhair Pakistan mein ziyarat ke qareeb paye jatay hain. Silica woh rait hai jis se sheesha banaya jata hai. 
  5. Sang-e-Mar Mar - Marble: Pakistan mein sang-e-mar mar ke behtareen zakhair peshawar mein mala gori ke muqam par paye jatay hain. Mardan aur Swat mein bhi sang-e-mar mar ke zakhair paye jatay hain. Chaghi aur Muzaffarabad mein bhi marble thori tadad mein paya jata hai. 
  6. Chunay Ka Pathar - Limestone: Chunay ka pathar cement ke karkhanon mein istemal kiya jata hai. Is ke zakhair Pakistan mein punjab mein daud khel aur wah jabhek sindh mein rohri aur karachi ke muqamat par paye jatay hain. Chunay ka pathar buildings ki constructions mein istemal hota hai. 
  7. Gypsum: Gypsum intihai qeemti maadni wasail mein se aik hai. Ye cement ki tayari, plaster of paris aur khad ki tayari mein use kiya jata hai. Pakistan ke choron provinces mein gypsum bohat zayada quantity mein paya jata hai khas tor par punjab ke 2 shehron jhehlum aur mianwali mein. 
  8. Sulphur: Sulphur ke zakhair Pakistan mein Koh Sultan aur Chaghi ke elaqon mein miltay hain. Sindh mein khairpur aur khyber pakhtunkhwa mein mardan ke ilaqon mein sulphur paida hota hai. Is ke bawajod Pakistan ko apni zarooriyat ki takmeel ke liye dusron mulkon se sulphur mangwana parta hai. 
  9. Namak - Salt: Namak ke zakhair Pakistan mein bakasrat paye jatay hain aur shayed world mein sub se zayada salt reserves Pakistan mein hi paye jatay hain. Agar jhehlum ke maghribi kinare se shuru ho kar shamal maghribi pahari elaqon tak nazar dorai jaye tou namak ke beshumar zakhair nazar ayain gey. Pakistan mein khewra salt mines mein khewra ki kanain namak bakasrat paida karti hain. Is ke ilawa tharparkar, warcha salt mines, bahadur khel salt mines aur kala bagh mein bhi namak ki kaanain hain. Maripur, Lasbela, Makran mein bhi samandari pani se namak hasil kiya jata hai.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker