Morning Walk Essay In Urdu Subah Ki Sair Subah Ka Manzar

Subah ki sair tafreh bhi hai aur halki warzish bhi. Is se insan sara din chaq-o-choband rehta hai. Tibi aitbar se bhi ye sehat ke liye mufeed hai. Sair karne se insan ko bohat si bimariyon se khud ba khud nijat mil jati hai. Jo log subah sawere uthne ke aadi hotay hain woh uthtay hi khuli hawa main nikal jatay hain. Woh taza hawa ke jhonkon ka lutf bhi uthatay hain aur apne phaipron ko sehatmand rakhne ke liye oxygen bhi hasil kartay hain. Un ke jismani aur dimaghi pathay mazbot rehtay hain. Dusre lafzon main agar ye kaha jaye keh subah ki sair sehat ki zamanat hai tou sahi ho ga.

Subah ki sair akele bhi ki ja sakti hai lekin agar aik sathi hamra ho tou sair kartay howe zayada lutf rehta hai. Isi liye main aur mera aik dost Bilawal subah ikhathay hi sairf ko nikalte hain. Hum donon sehar khaiz hain. Raat ko chahay kitni dair se soyain subah azan se pehle hi baidaar ho jatay hain. Hum donon hi namaz ke aadi hain. Subah ki namaz masjid main parh kar wahin se ikhathay sair ko chalay jatay hain. Ikhathay sair bhi hoti rehti hai aur mukhtalif mazameen par tabadla khayal bhi hota rehta hai.

Hamare sath sath aksar kisan bhi kasab muash ke liye zameen ka seena cheerne nikal partay hain. Marghan chaman bhi apne khaliq ki hamd-o-sana ke taranay alapne lag jatay hain. Hamare rastay main aik bagh parta hai. Bagh ka nazara subah ko deed ke qabil hota hai.

Phoolon aur patton parshabnam ke moti chamak rahe hotay hain aur khoob bahar dikhatay hain bad-e-naseem ke jhonkay tehniyon se kheel rahe hote hain. Khubsurat phool mahool ki khubsurati main izafa kar rahe hotay hain. Kaliyan chatak rahi hoti hain. Parinday chehchaha rahe hotay hain. Kya suhana sama hota hai. Har taraf taro taazgi aur khushbu pheeli hoi hoti hai. Is tarah ke manazir hon tou sair karne walon ki sehat kyoun behtar na rahe aur din bhar un ki tabiyat shagufta na rahe. Isi liye tou subah ki sair par itna zoor diya jata hai aur doctor aur hakeem bhi baar baar sair ki talqeen kartay hain.

Subah hote hi parinday rozi ki talash main nikal partay hain. Chiryan phudak phudak kar aik tehni se dusri par chalangain lagati bohat pyari lagti hain. Un ki chun chun ki awaz kahon ko lubhati hai. Bulbul bhi naghna sara hoti hai. Asman par kaway mashriq se maghrib ki taraf gholon ke ghool is tarah ja rahe hotay hain jis tarah aik mill ke mazdoor aik hi simat main muqarrah waqt par jooq dar jooq duty par chalay ja rahe hon.

Chalte chalte nehar aa jati hai. Phir hum nehar ke kinare ho laitay hain. Nehar ka nazara ajeeb hi kefiyat paish karta hai. Nehar ke kinare sar kundon ki deewarain chandi ki tarah chamak rahi hoti hain. Jis mausam main un ke auper phool khilay howe hon tou woh naram nazuk chamakdar bohat hi pyare lagtay hain. Nehar ke kinare darakht ayr dusre puday dusri jaghon ki nisbat zayada hi tar-o-taza aur sabz hotay hain. Nehar ke kinare honay ki wajah se un ko nami ki kami nahin rehti. Nehar ke kinare par sarak tou kachi hoti hai magar saaf suthri aur hamwar hoti hai jis par chal kar bohat maza ata hai. Is se zayada nehar ke kinare ugi hoi ghas par chal kar dil aur dimagh ko tazgi aur thandak milti hai. Nehar ke pani se dhuli hoi sarak saaf shafaf hawajub andar dakhil hoti hai tou ankhain khulti chali jati hain.

Jald hi suraj ki kirnain bhi nikalna shuru ho jati hain. Subah ki sair se insan ko aik khas qisam ka luft milta hai. kahli aur susti sara din paas nahin ati. sabz kheeton ko dekhne se ankhon ko tazgi aur thandak milti hai. Dimaghi thakawat door ho jati hai. Sehar khezi bohat hi achi adat hai. Dair se uthnay ke aadi log apni sehat kharab kar ke tarah tarah ki bimariyon main mubtala ho jatay hain. Takleef bhi uthatay hain aur khoon paseenay ki kamai hoi kaseer raqam doctors ki nazar kartay hain aur karobar ke faraiz sahi tarah sar anjam nahin de saktay.

Isi tarahsair karnay ka hamara rozana ka mamol hai. Hum rozana kam az kam 4 mile ki sair kartay hain. Kisi din is se zayada bhi ho jati hai magar kam nahin hoti. Hamari tabiyat sara din hashash bashash rehti hai aur ham sara din puri mustadi se kaam kartay hain. Ma Sha Allah hamari sehat bhi theek rehti hai.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker