Mera Behtreen Dost Urdu Essay Mera Pasandida Dost

Insani fitrat ka taqaza hai ke woh kisi se mohabbat kare aur woh us ki mohabbat ka jawab mohabbat se de. Aisay shakhs ko jis se woh mohabbat karta hai dost kaha jata hai. Dosti aur pyar mohabbat main paidari sirf is surat main mumkin hai jub woh insanon ke khayalat kardar aur itwar miltay hon.   Har shakhs chahay woh acha ho ya bura ghareeb ho ya ameer ho ya dihati us ka koi na koi dost zaroor hota hai. Kisi na kisi ko woh apna hamdard zaroor samajhta hai, aur kisi na kisi se hamdardi zaroor rakhta hai. Ye rohani rishta roz-e-awwal se chala aya hai. Har door main har haal main kisi ka koi na koi dost zaroor hota hai.

Khuda ka shukar hai mujhe bohat hi acha dost mila hai hamesha mera sath deta hai. Us ka naam Ali hai aur woh mere sath parhta hai. Woh meri khatir jaan qurban karne ko bhi tayar ho jata hai aur mujhe preshan dekh kar woh bhi preshan ho jata hai. Aray waqt main mere kaam ata hai. Kabhi koi uljhan aan paray tou us ke liye mujhe behtareen mashwara deta hai aur mujhe har tarah se tasali deta hai aur zubani aur amli madad bhi karta hai aur mein bhi us se bohat mukhlis hon main koshish karta hon ke us se apni dosti ko aur mazboot karon.

Woh parhai mein bohat hi hoshyaar hai shayad yehi wajah thi ke mere abu bhi Ali se bohat pyar karte hain aur mujhe aksar kaha karte hain ke main us ke sath school jaya karon aur us ke sath class main baithon aur parhon aur us ke sath kheela karon aur main aisa hi karta hon.

Hamari adatain aik dusre se bohat milti hain. Bure waqt main mere kaam ata hai. Jub hum dusri class main parhte thay tou Ali hamare ghar aya karta tha. Ali achay ikhlaq ka malik hai har larka us ki izzat karta hai. Ustad bhi usay shafqat ki nigah se dekhte hain.

Ali aksar kehta hai ke jis ne apne ustad ki izzat nahin ki woh kabhi ilm ki daulat se mala maal nahin ho sakta. Is liye woh khud bhi is par amal karta hai. Apne waldain  ki bay had farmabardari karta hai. Apne ustad aur bazurgon ki bohat izzat karta hai aur ustad bhi Ali par khaas nazar shafqat rakhte hain aur us ki mushkil waqt main rehnumai karte hain. Mein bohat hi khush bakht hon ke mujhe Ali jesa naik, hamdard, wafadar, zaheen aur mehnati dost mila hai.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker