Co-Education yani makhloot taleem bhi aik qaumi masla hai. Is ke mutaliq bhi mukhtalif ara hain. Azad khayal logon ka nuqta nazar hai ke larkiyon aur larkon ko akhathay taleem dene mein hoi harj nahin balkeh is ke bohat se faide hain. Hamara mulk aik ghareeb mulk hai alag alag taleemi adaray banana aur un ke akhrajat ka muthamal nahin. Wh kehte hain ke mil jul kar azadana taleem hasil karne se manfi jazbat khatam ho jate hain aur sakoon ke sath husool taleem ka kaam jari rehta hai. Larkay aur larkiyon ko aik dusre ko samajhne ka achi tarah se moqa milta hai.Un ki bahmi jhijhak bhi dor ho jati hai. Apas mein tabadla khayalat se bohat si ghalat fehmiyan door ho jati hain aur bohat se ikhtilafat khatam ho jate hain.
Larkiyon mein buzdili ke bajaye jurat paida hoti hai jo amli zindagi mein mufeed sabit hoti hai. Un mein mardon ke dosh badosh kaam karne ki salahiyat paida ho jati hai. Makhloot Taleem se aik aur bhi faida hota hai ke aik dusre se agey nikal janay ka jazba paida ho jata hai. Larkiyan koshish karti hain ke hum larkon se qabil tareen ban kar dikhayain aur larkay ye khayal karne lag jatay hain ke agar larkiyan hum se agey nikal gayienn tou hamari is mein bay izzati hai. Lihaza donon larkay larkiyan khoob mehnat karte hain. Is tarah se un ka mayar taleem buland ho jata hai aur woh mehnat ke adi ho jate hain. Muqablay ke imtiham mein asani se kamyabi hasil kar saktay hain. Jin larkiyon ne makhloot taleem payi zayada jurat se aadmiyon ke dosh badosh baghair kisi jhijhak ke kamyabi se kaam kar sakti hain. Jo log co education ke haq mein hain woh ye kehne mein kisi had tak apne aap ko darust samajhtay hain ke sirf mard kaam karay tou saray kumbay ka guzara mushkil ho jata hai aur agar is mein aurat bhi kaam karay tou bohat had tak bojh halka ho jata hai. Zindagi asani se uzarti hai. Bachon ko like banane ke liye bohat sari kamai ki zaroorat hoti hai. Agar mard aur aurat donon hi kamayain tou us waqt duswari ka samna nahin karta parta aur is tarah zindagi zayada khush gawar guzarti hai.
0 Comment