Chidiya Ghar Ki Sair Urdu Essay Zoo A Visit To Zoo

Chidiya Ghar Ki Sair - Jub se maine hosh sambhala hai dekhne mein aay hai ke hamare ghar chutti ke din koi na koi shoghal zaroor hota hai. Ghar ke andar hon ha bahor ye mere ghar walon par munhsir hai ke woh kya programe banate hain. Agar ghar mein programme ho tou khane peene ka programme ban jata hai. Ye programme sub ki marzi se mausam ke mutabiq banta hai. Garmi ke mausam mein kabhi aamon aur kabhi kharbozon ka programme banta hai. Barsat mein jis din mausam khush gawar ho kisi tafreehi muqaam ka programme ban jata hai. Pichle jumma ko sub ne mutfiqah toor par chidiya ghar jane ka programme bana liya.

Subah nashta karte hi sub behan bhaiyon ne chidiya ghar jane ki tayari shuru kar di. Sadak par pohanch kar wegon mein baithay aur maal road ki taraf chal diye. Koi adha ghanta mein hum chidiya ghar pohanch gaye. Chidiya ghar ke bahir bohat si khane peene ki dukanain hain. Gate se bahir khula maidan hai jahan par carain scooter khata karne ka intezam hai. Gate ke sath hi ticket ghar hai. Wahan se hum ne tickets khareedain aur chidiya ghar mein dakhil ho gaye.

Ye chidiya ghar bohat hi khoobsurat wasi bagh ki shakal mein hai jis mein pukhta sarkain bhi hain. Footpath bhi hain. Bohat purane unchay darakht bhi hain. Jub hum chidiya ghar mein dakhil howe tou sub se pehle humain shitar murgh dikhai diye. Pehle tou humain un ka naam hi nahin aata tha. Abu hamare sath thay unhon ne bataya ke ye shitar murgh hain. Wese un ke junglay ke bahir likha howa tha. Us ka naam kisi ne shitar murgh sahi rakha hai. Us junglay mein bohat se shitarmurgh thay. Un mein bachay bhi thay jo bohat hi pyare lagte thay. Agey chale tou humain aik talaab nazar aaya. Us mein batkhain aur aabi parinday nazar aye. Ye kayi qisam ke parinde thay. Is ke baad hum hirnon ke junglay ke paas gaye. Hiran patli patli tangon wale thay, sar par seeng aur kamar par kisi ke sayah dagh aur kisi ke seedhi lakeerain thien jin se un ki khubsurati mein izafa ho raha tha. Chamakdar moti moti aankhain jese surma dala howa ho. Koi ghaas kha raha tha. Koi khara tha koi idhar udhar ghoom raha tha. Un mein hiran bhi thay aur hirniyan bhi thien.  Hirnon ke chote chote bache bohat hi payare lag rahe thay. Hath mein koi khane peene ki cheez lay kar ishara karo tou jhat paas aa jate thay.

Abhi hum wahin phir rahe thay ke thori thori dair baad aik garaj dar awaz aati thi. Chote bhai ne abu se daryaft kiya ke ye awaz kis cheez ki hai. Unhon ne bataya ke ye awaz shair ki hai. Jub sheer dharta hai tou garj dar awaz paida hoti hai jis par us ne kaha ke chalo humain shair dikhayain. Hum sheer ki taraf chal diye. Ye aik bohat bari amarat hai jis ke mukhtalif hise bane howe hain. Us ke bahir jungle sa bana howa hai. Us mein sabza wagera bhi hai. Us imarat ke ird gird door tak mazboot lohe ki salakhon se uncha jungla banaya howa hai.  Jub hum wahan pohanche tou wahan khuch bhi nahin tha. Abu ke kaha ke abhi ajaye ga. Dusri taraf gaya howa ho ga. Thori dair baad hi sair aur sheerni dono hi agaye. Ye aik gehre brown rang ka shair hai. Us ki gardan par bohat hi ghane baal thay jis ne us ke chehre ko aur bhi darona bana rakha tha. Ankhain chamakdar aur surkh thien. Qad taqreeban 2 1/2 foot aur lambai 5 - 6 foot ho gi. Hum se kafi door andar ki taraf aa kar baith gaya tha. Us ke unchay junglay ke bahir aik aur jungla tha jis ke bahir log khare hote hain. Is liye ke agar koi aadmi ghalti se shair ko chaid baithay tou sheer usay panja maar kar zakhmi na kar de. Us ke ilawa jitne aur janwar thay un ko tou log khoob chaid chaar rahe thay magar sheer ko chaidne ki jurat kisi ko nahin hoti thi.

Us ke sath hi aik aurat ke samne haathi khara tha jo matwatar jhoomta chala ja raha tha aur apni soond ko hila raha tha. Kayi log usay khane ke liye cheezain paish kar rahe thay. Woh soond se pakar kar unhain munh mein daal laita tha. Hathi bohat samajhdar janwar hota hai. Haathi sheer se zayada bara janwar hai us ke bawajood us se sheer ki tarah dar nahin lagta tha. Us ke uper baith kar hum ne sawari bhi ki. Chidiya ghar ke dusre hison mein bhi gaye. Kahin  bandar hain kahin moor kahin zarafay. Bachon ke liye tafreh gah bhi hai, jis mein jhoole lage howe hain. Tea stall bhi hain jahan par khane peene ka samaan aur thande mashroobaat mil sakte hain. Hum bohat hi lutf andoz ho kar ghar lautay.

Share this :

0 Comment

eXTReMe Tracker